Thread View: alt.language.urdu.poetry
2 messages
2 total messages
Started by Zoya
Thu, 10 Feb 2022 07:54
Lata ji ke liye ek nazm -- Amjad Islam Amjad
Author: Zoya
Date: Thu, 10 Feb 2022 07:54
Date: Thu, 10 Feb 2022 07:54
43 lines
1288 bytes
1288 bytes
aadaab dosto, jaisaa k aap sab jaante haiN, 'Nightingale of India', Lata Mangeshkar ji ab hamaare biich nahiiN rahiiN. Amjad Islam Amjad sahib ne Lata ji ko shradhanjali dete hue ek nazm likhi hai, jo unhoN ne mujhe Urdu font meN bheji hai. maiN Amjad sahib ki ijaazat se, is nazm ko Roman meN aap sab ke saath share kar rahi huuN. ___________________________________________________________________________ Lata ji ke liye ek nazm gumsum gumsum saaz paRe haiN sur kii raani chali gayii ujR gayii rangoN kii dunyaa ruuTh gayii phuuloN se Khushbuu Khushk huaa sangiit ka daryaa kar ke dunyaa ko diivaanaa voh diivaani chali gayii jab jab bhii voh taan lagaatii vaqt ka pahiyaa ruk jaataa aur sargam us meN gum ho jaatii utr gaye raagoN ke chehre, lau ki javaani chali gayii jaise hoN bachpan ke miit jiivan ke har dard ka darmaaN marham jaise us ke giit saat suroN kaa daryaa to hai us ki ravaani chali gayii KhwaaboN ke dar kholne vaalii bikhar gayii voh gul aavaaz kaanoN meN ras gholne vaalii Duub gayaa subH voh ka taaraa, shaam suhaani chali gayii us ke giitoN kii mehkaar ek sii aatii jaatii thii mulkoN ki sarHad ke paar mast kiyaa har dil ko jis ne, voh mastaani chali gayii gumsum gumsum saaz pare haiN, sur ki raani chali gayii Amjad Islam Amjad ________Zoya
Re: Lata ji ke liye ek nazm -- Amjad Islam Amjad
Author: Zoya
Date: Thu, 10 Feb 2022 08:02
Date: Thu, 10 Feb 2022 08:02
9 lines
458 bytes
458 bytes
Friends, I reposted the nazm because I was trying to fix some minor typos which were bugging me and Alup does not have any edit option. I do not want to propagate any errors. One more correction, in the last line in the second band, 'lau' should be 'lai'. "utr gaye raagoN ke chehre, lai ki javaani chali gayii" I was extra careful with preserving the meter in Roman, but if I missed anything, Prof RK/Irfan sahib please point it out. TIA. ________Zoya
Thread Navigation
This is a paginated view of messages in the thread with full content displayed inline.
Messages are displayed in chronological order, with the original post highlighted in green.
Use pagination controls to navigate through all messages in large threads.
Back to All Threads