Thread View: alt.language.urdu.poetry
7 messages
7 total messages
Started by a_rzoo@hotmail.c
Tue, 10 Feb 2004 12:00
aik kahani " na qabil-e- faramosh "
Author: a_rzoo@hotmail.c
Date: Tue, 10 Feb 2004 12:00
Date: Tue, 10 Feb 2004 12:00
262 lines
16109 bytes
16109 bytes
Na qabil-e- faramosh Choti si thi jab us ki ammi us kay haathoon ka piyala bana kay kehtin " dua mango hum Allah miyan kay ghar phir say jain" aur wo foran ankhain sakhti say meech kay hil hil kay is jumlay ki gardaan karnay lagti ye janay baghair ke Allah miyan ka ghar kia hay ? kahaan hay? kaisa hay? paanch saal ki umar main usay to bas itna maloom tha ke is naey shehar main us ki aik hi saheeli " gurya " thi jis ka ghar waisa hi sabz rang ka hay jaisa ke us ki man pasand frok ka . thori bari hoey to kitab ho ya Tv jahaan bhi nazer ata Us ki ammi foran kehtin " Sna , ye daikho ye hay Allah miyan ka ghar " wo la parwahi say tasweer ko daikh kay apni ammi kay chehray ko daikhnay lagti jahaan na janay kia hota ke wo sochnay lagti ke us ki ammi ko ye ghar kitna pasand hay , akhir kioon? waqt kay saath saath is chotay say sawal main aur buhut say sawaloon ka izafa hota gaia , her saal anay wali Baqr Eid pe Haj aur Qurbani kay alfaaz aur muhallay main kisi Haji kay anay ya janay ki khabrain ,Aur sab say barh kay , 9 zil haj ko us ki ammi ka TV daikhnay ka ishteyaaq , jaisay us kay ander tajasus aur shauq ki chingaryaan roshan karnay lagta. dasween kay imtehaan say farigh hoey to gurya kay saath mil kay palmistry ka shauq paal liya ,ab bas her aik ka hath paker kay baith jaati . pehlay apna phir gurya ka phir ammi papa ka , phir saari class main sab larkyoon ka , aur kartay kartay khandaan main mashhoor ho gaey . apnay tak aur larkyoon tak shughal laganay ki baat to usay bari pasand thi laikin jab bhi wo apni khala bi kay ghar jati wo aik hi sawal kartin " Sna baiti, a zara daikh mairay hath main Haj ki lakeer hay ke nahi " us nay aaj tak kisi kitaab main Haj ki lakeer nahi parhi thi laikin wo aisay hi natak kar kay keh daiti "haan khala bi buhut bari lakeer hay Haj ki " aur phir khala bi hath khainch laitin aur pursakoon si ho jatin. khala bi kay is sawal ki waja say us nay kaey kitabain chaanin laikin Haj ki lakeer kahin nahi mili . phir usay apni khala bi ki tarha kaey log milay jo yehi sawal kartay " mairay haath pe Haj ki lakeer hay ?" us kay paas is ka jawaab kabhi na hota . Haj ki lakeer kay muamay say tang aa kay us nay is shughal ko khair baad keh diya . College main gaey to is jaisay dunya aur bhi rangeen ho gaey , Allah miyan kay ghar ki bajaey ab wo hazaar tareekhi jaghoon aur dunya ki bay shumaar ala shaan emaratoon kay baray main parhnay lagi . imartoon kay isi shauq ki waja say wo architecture main masters karna chahti thi , college kay trips ka silsila bhi chalta raha aur saath hi saath us kay kamray ki deewarain mukhtalif emartoon kay posters say bharti rahin . aaj bhi wo abhi taj mehal ka khoobsoorat sa poster laga rahi thi ke ammi ki awaz aey " Sna , gurya aey hay ." jaldi say kursi say neechay utri , gurya kay anays say pehlay aina daikha aur kursi jagah per rakhtay hi , darwazay pe khari Nida ko garam joshi say salam kiya aur kaha " aray waah , aaj to eid kara di tum nay " us nay galay miltay hoay kaha. " w , salaam . main nay socha kabhi kabhi achanak bhi ana chahyay , ziada khushi hoti hay " Nida baig maiz pe rakhtay hoay boli." to kia ho raha tha , " " aray wah jaisay tum nay daikha hi nahi , ye daikho " us nay taj mehel kay poster ki taraf ishara kartay hoay kaha . " waao ...that's nice" kahaan say mara hay ?" Nida nay paas jatay hoay poocha ." maara nahi yaar, khareeda hay pooray 75 rupay main" " maira khiyal hay ke dunya main sirf 7 ujoobay hain laikin tumharay kamray main to hazaroon ujooboon ki tasweerain lagi hain " Nida nay saray kamray ki deewaroon per lagi , Eharaam-e- misr , Eiphel tower, Peica tower, WTC, Deewar-e- cheen , Room aur Spain ki purani emartain, China Aur Pakistan ki Dhair saari mashhoor-o- maroof emartoon ki choti bari hazaroon tasweeroon per aik nazer dauratay hoay kaha . "Acha hay na kam az kam tumharay bhaey jaan kay saRay hoay shauq say acha hay na jinhoon nay dunya bhar ki garyaan saja rakhi hain dewaroon pe" Sna nay ankh martay hoay khushgawaar mood main kaha . " Acha to kia tum un say muqabla karti ho ""Nida nay maanee khaiz nazroon say daikhtay hoay poocha ." main kahan , wo kartay hain mujh say muqabla " Sna nay nazrain churatay hoay kaha aur saath hi poocha . " waisay japan ja kay to buhut khush hoon gay ab" Nida nay qadray udasi say jawaab diya " haan teen saal bad aein gay engeenering ki degree mukamal kar kay " Sna nay usay chutki kaati aur hanstay hoay kaha " Aur aik added brand new japani gaari aur japani gurya lay kay" aur saath hi donoon hansnay lagin. chaar saal ka arsa parhayi main . imtehanoon main aur dunya ki emartoon ko sarahatay hoay kab guzra Sna ko pata bhi na laga . is dauraan Nida ki shadi ho gaey aur khud us ka nikah Nida kay bhaey Arsalaan kay saath ho gaia aur ab do mah baad wo rukhsat ho kay halkay sabz rang kay man pasand ghar main janay wali thi . wo apnay kamray ki dewaroon per say tasweerain utaar kay sanbhaal kay rakh rahi thi ke us ki ammi nay daikha to poocha " Sna !! ye tum saath lay jao gi kia" " haan ammi jaan ,, bhala ye main bhool sakti hoon ..maira asaasa hain ye" us nay lambay say dibbay ko band kartay hoay kaha ." tauba hay , bhala in emartoon main Allah jany tumhain kia nazer ata hay , wahan bhi ja kay ye gand sajao gi dewaroon pe " us ki ammi nay nagawari say kaha . " ammi jaan aap ki baiti Architect hay koey mazaaq nahi ...in kay baghair ab mairi pehchaan nahi. " us nay baray fakher say kaha." acha tum pe to junoon sa sawaar hay , suna hay Japaan main aur bhi khoobsoorat emartain hain ," us ki ammi nay sochtay hoay kaha " haan ammi Arsalaan bata rahy thay , bas mujhay wahaan janay dain phir daikhna kaisay kaisay design karoon gi " , " Acha tumharay janay kay baad hum tumhari chachi kay paas Jeddah ja rahay hain hain aur wahaan umray karain gay aur Haj kar kay wapas aein gay " us ki ammi nay bari khushi say bataia . Sna nay ammi ki ankhoon main chamak daikhi to sochnay lagi ke ammi ko mairi rukhsati ka koey dukh nahi laikin Haj ki kitni khushi hay.laikin saath hi usay ye baat tasaleebakhs bhi lagi kam az kam ab usay ammi papa ki itni fikar nahi rahy gi. do maah baad rukhsat ho kay wo chand haftay Sabz ghar main rahi aur phir Arsalaan kay saath japan chali aey . yahaan sharoo kay kaey maheenay wo arsalaan kay saath mukhtalif jaghain daikhti rahi . phir Arslaan ki company ki taraf say aik tour main wo log Itally bhi gaey aur France bhi .dunya ko daikhnay kay saath saath usay ammmi papa kay phone atay rahay . " kabhi Makkah ki fizaoon kay baray , kabhi khana kaaba ki tareef kartay hoay aur kabhi madeenay raunaq kay baray...wo sochti us kay seedhay saadhay waldain inhi do jaghoon ko daikh kay itnay khush hain yahaan aa kay aaj ki duyna ki taraqi daikhain to shaid sab bhool jain. Shadi kay doosray hi saal Arsalaan nay aik din kaha " Sna , main soch raha hoon is baar ammi dady ko Haj karwaoon ..tumhara kia khiyal hay?" ...Haj kay naam pe jaisay ,,, wo sakit si ho gaey , phir boli " haan kioon nahi , mujhay kia aetraaz ho sakta hay " phir maiz pe kisi naqshay pe jhuk gaey. " mager maira khiyal hay ke Hum bhi jain , mauqa bhi hay aur ammi dady ko company bhi rahay gi " Arslaan nay Sna kay haath say pencil pakartay hoay kaha. Sna ko aik dam kuch na soojha , khoey khoey si boli" haan is say achi kia baat ho sakti hay " .." bas phir tayari paker lo ", Arsalaan nay ghoom kay khushi say kaha ... do mah baad wo Haj ki saari tayaroon kay saath jeddah pohnchay jahan say Arsalan kay waldain ko saath liya aur haj kay liyay rawana hoay .Sna aur Arsalaan nay Makkah jatay hoay dhair saari kitaboon ko parha . Ehraam aur Haj kay saray arkaan ko samjha . aur saas susar ki rahnumaey main Allahumma labaik parhtay hoay hajyoon ki saf main shamil hoay. Masjid al haram say kaafi pehlay hi sarak pe chaltay hoay itnay rash aur hujoom main Sna nay logoon kay chehroon pe ajeeb sa junoon daikha , jaisay maqnatees lohay ko khainchta hay usay laga , sab log kahin khichay chalay ja rahay hain. Allahuma labaik ka wird kartay hoay wo zameen ko daikh kay chalnay lagi ke Arsalaan nay ishara kar kay kaha "Sna ,samnay daikho" Sna nay daikha ..sufaid marbal ki phaili hoaey emarat charoon taraf hajyoon ka hujoom aur fiza main " Allahuma labaik kay wird kay jadoo main laal choocnhoon walay mast kabooter , us kay rongattay kharay ho gaey aur qadam ruk gaey, bait-Allah main usay buhut pehlay hi Allah ka jalaal aur shaan ander tak mehsoos hoey .Arsalaan nay us ka haath dady ko thamaia aur khud apni ammi ka hath paker liya . Bait-al haram main dakhil hoay to jaisay logoon ka sailaab beh raha ho Sna ki nazer jaisay jhapakna bhool gaey us kay samnay khana kaabah tha . kalay rang kay ghulaaf main dhaka hoa , khoobsoorat Ayaat say muzayan , us ka dimaghjaisay shal sa ho gaia ho , usay nahi yaad kab Dady nay usay paker kay chalatay hoay tawaf main ghaseet liya. phir jaisay us sailab main wo behnay lagi , dady nay usay yaad karaia ke tawaaf main kia tasbeeh karni hay . laikin us ki nazer markaz say na hat saki . hajr-e- aswad kay samnay dady kay kehnay pe takbeer -e- tehreema kahi aur phir usi markez kay gird behnay lagi . usay nahi yaad zameen pe qadam lagay ke nahi ? kitna fasla tay hoa ? kaisay hoa? bas aik ajeeb si baykhudi si thi jis main say her baar dady ko usay nikalna parta . aur aglay rukan kay liyay samjhana parta . muqam-e- ibraheem kay baray bhi dady nay usay bataia warna usay to yaad na rehta . tawaf kay baad saee kartay waqt bhi us ki nazer behak kay markaz pe par jaati . too palatna bhool jaati . saee kay baad wo ammi kay saath Zam zam ki taraf gaey . pehlay piyas bhujhaey phir zaiq mehsoos kiya to usay laga ke nazer to paani ata hay laikin paani mehsoos kioon nahi hota . koey nabeena aurat ankhoon pe laga rahi hay to koey apnay bachy kay sir pe daal rahi hay . usay aik aik nal kay peechay khawateen ki qatarain nazer ain . aik lamhay ko us nay socha lakhoon ki taadaad main Haj aur aik Zam zam ka Kunwaan . aur phir hazaroon saal purana . us kay rongattay phir kharay hoay . dimagh shal sa hoa aur wo pagaloon ki tarah Zam zam kay paani kay cheentay monh pe dalnay lagi. wo jaisay jaisay paani kay baray sochti rahi sirshaar hoti rahi .wo to taqreeban poori bheeg hi chuki thi ke ammi nay kaha " Sna , abhi kay liyay bas karo " kisi aur ki baari anay do." usay tab ehsaas hoa ke usay to peechay khari ammi bhool hi gaey thin. wo sharmindigi say jaldi say peechay hat gaey. bait -al haram say mina jany lagay to bhi mur mur kay daikhti rahi . Haj kay tamam manasik ada hotay rahay aur wo bhooli bhatki si baykhaber si jaisay dunya bhool gaey ho. ammi dady aur Arsalaan ki rah numaey na hoti to jaisay usay kuch soojhta hi na .maidaan Araafaat main dhoop ki tamazet main nidhaal si kaifiyat main usay mehsoos hoa . khali maidaan main kisi ala shaan emarat ka jadoo nahi hay , aur sooraj ki hararat main rait kay zarray hain ya kuch pather jo Allah ki tasbeeh biyan kartay hoay mehsoos ho rahy hain . darakht aur insaan main abadat ka aik jaisa nasha tha jis kay agay Sna ko kuch dikhaey na diya. kahan say peenay ko paani mil gaia , aur kahaan say khanay ko khauraak kisi ko koey sar-o-kaar hi nahi jaisay . Muzdalfa say kankaryaan uthatay waqt usay khiyal aaia ke ibadat kay is hissay main kia lutf ho ga? is sawal kay jawab main jab wo kankaryaan marnay gaey to daikha ke jamaraat per kankaryaan aisay girrahi hain jaisay chakki main say Aata . usay aur ammi ko Arsalaan aur dady aik jaga khara kar kay , aga gaey aur sab kay hissay ki kankaryaan maar kay aey . Sna ko ajeeb sa shauq jaga , neechay giri hoey kankaryaan utha kay wo us taraf phainknay lagi. ab tak ki saari riazat kay dauraan usay neend ka ehsaas buhut kam hoa , usay lagta tha jaisay us ka dimagh soay hoay bhi jaag raha hay . Mina main qayam kay waqt albatta usay neend nay a liya , thakan ka ehsaas jaga ye shaitaan ko kankaryaan marnay kay baad ka sakoon tha shaid . Eid kay din naha dho kay , qurbaani kay baad , sab nay aik doosray ko Haj ki mubarak di aur phir madeenay ki taraf chalay . . tawaf al wida keh kay jab wo rukhsat honay lagi to jaisay sakoon ka lafz yahin chore kay ja rahi ho . wo ronay lagi , ansoon main usay yaad aaia ke itna to wo apni rukhsati kay waqt bhi nahi roey thi. usay apni ammi ki ankhoon ki wo chamak yaad aa gaey jis nay unhain apni baiti ki rukhsati bhula di thi. wo ye soch kay muskaey aur shukranay ki dua mangaty hoay us nay Madeena munawara say anay waali hawa ko khushi say mehsoos kiya . masjid Nabwi ki hudood kab sharoo hoey Sna ko nahi maloom albatta logoon kay bahao main chalti hoey wo jahan tak ander ja sakti thi chalti gaey . thandi pursakoon fiza say jaisay thakay hoay hajyoon ka massag ho gai aho aur wo phir say tar-o- taza ho gaey hoon. masjid nabwi ki khoobsoorat naey tarz ki wasee emarat main hafta bhar namazain ada kin aur rozana hi Us muqadas jaali ko daikhnay ki hasrat barhti gaey. wahaan auratoon aur mardoon ka elehda intezaam tha aur ziyarat kay makhsoos auqaat thay .phir aik din asar ki namaz kay baad unhain mauqa mil hi gaia . wo sunherijalyoon ko daikhnay lagi aur nazer ander tak na janay kia dhoondhti rahi . wahaan darood -o- salaam ka zikar tha charoon taraf . log duain kar rahay thay nawafil parh rahay thay . ammi kay kehnay pe nafal ada kiya aur darood parhany lagi . aik konay main wo baithi logoon kay hujoom kay darmiyaan say jalyoon kay ander chaey hoay sakoot ko mehsoos karnay lagi . us nay ankhain band kar lin ke un kay kanoon main peechay baithi aik khatoon ki hichkiyoon ki awaazain sunaey din. wo halka sa muri. ansoon say nahaia hoa chehra , dua mangtay hoay kamptay hoay hath . kamptay hoay alfaaz . us nay zara tairana nigah daali to saray alam ka yehi haal tha . girgiratay hoey . roti hoey . jholyaan aur daman phailey hoey .. mangti hoey dunya . us ka dil jaisay halaq main aa kay thehar gia ho. aik lamhay ko usay kuch nahi soojha ke wo kia mangay ...phir jaisay us ki ammi ki awaaz sunaey di " Sna dua mango. hum Allah miyan kay ghar phir say jain " aur jaisay wo kam sin ban gaey ho aur hil hil kay yehi dua mangti gaey .usay yaad aaia ke Khala bi Haj ki khawhish liyay hi dunya say rukhsat ho gaey thin . ...khala bi kay chehray kay saath usay kaey chehray yaad aa gaey aur wo un kay liyay dua mangti gaey ... madeenay ki pur- raunaq dukaonoon say khajoorain aur tasbyaan khareedin kuch aur masjidoon ki ziaratain kin aur wapsi ki tayari hoey . Haj kay chand dinoo main hi wo dhair saari tabdeeli kay saath . wapas Jeddah aa gaey . jahaan say Zamzam ki saughaat liyay Ammi aur dady kay saath Japan aa gaey. Yahaan sab ki mubarkain milin , zam zam aur khajoorain bantin . aur dawtain khaein. kisi nay usay Hajan kaha aur kisi nay khushqismat . Zindigi jaisay us ki ab sharoo hoey thi . namaz ki pabandi kay saath us nay dunay ki nit naey taraqi yafta emaroon say mehzooz hona chore diya tha . wo aik qabil Architect thi ghar ko naey siray say muzayan kiya .us kay office main ab aik say barh kay aali shaan masajid kay posters thay , yehi haal ghar ka bhi tha . masjid nabwi kay mukhtalif zavyay haray balb ki roshni main ghar main dakhil hotay hi rah daari ki dewar pe tatreeb say lagay thay. aur ghar kay darmiyaan .living main bait al haram ka nihayat hi khoobsoorat model tha . aur is kay elawa aisa buhut kuch tha jin kay samany dunya jahaan ki Architecture ki dunya hairaan aur mabhoot reh jati hay. aur kion na hoon akhir ye dunya per azal say abad tak zinda rehnay wali lazawaal emartain hain . jo ke kabhi dunya ka history nahi kehlain gi. teen saal ka arsa guzra , Sna ki baiti Eman chotay qadmoon say bhagti hoey aey aur maan kay braber baith kay , us ki taqleed main hil hil kay kuch mangny lagi . Sna nay us kay haath piyalay ki tarha banaey aur kaha ke " Eman ... mangoo ke hum Allah miyan kay ghar phir jain " ye keh kay Sna nay Eman ki hathaili ko daikha ...aur halki si muskaan say socha ke Allah karay is kay haath main Haj ki lakeer zaroor ho , amin.
Re: aik kahani " na qabil-e- faramosh "
Author: yashowanto@yahoo
Date: Tue, 10 Feb 2004 15:59
Date: Tue, 10 Feb 2004 15:59
298 lines
18234 bytes
18234 bytes
Arzoo saahiba, aadaab arz! nayee kahaanee sunaane kaa bahut bahut shukriya! maasha Allaah is baar bhee aap ne kyaa Khoob kahee hai---chhoTee see kahaanee meiN aik duniyaa basaa kar rakh dee :) paRhte vaqt yooN lag rahaa thaa k tamaam vaaqi'aat aaNkhoN ke saamne ho rahe haiN... kahaanee kyaa hai, kisee film yaa Drame kaa asar rakhtee hai!! manzar-kashee, character development vGh. hasb e ma'amool Khoob haiN (mere kehne kaa matlab yeh hai k aa'inda ham aap kee tehreeroN par likhte vaqt in baatoN kee alag daad na deN ge---it is automatically understood that your stories will have these qualities! :)) ). qaabil e Ghaur hai k agarche kahaanee "third person" meiN kahee gayee hai, sirf aik kirdaar ke dimaaGhee Haalaat/Khayaalaat bayaan kiye gaye haiN (jaisaa k umooman "first person" meiN kiyaa jaataa hai). is kaa asar bhee Khoob rahaa (aur mere Khayaal se yeh kaam aasaan na hogaa, so is ke liye mubaarak-baad!) chand aik "loose strings" reh gaye haiN---paRhne vaaloN ke zehn meiN shaayad yeh savaal reh jaayeN ge k Sana ke vaalidain kaa kyaa huaa aur Nida kaa kyaa huaa. Khair yeh baat shaayad ziyaadah ma'yoob bhee naheeN. unvaan (thoRaa-saa hee sahee) khaTak rahaa hai. "naa-qaabil e faraamosh" tarkeeb Khoob hai, aur kahaanee meiN jin vaaqi'aat kaa zikr hai voh yaqeenan naa-qaabil e faraamosh haiN, lekin shaayad pooree kahaanee ke liye is se behtar unvaan milnaa naa-mumkin naheeN ho gaa. With best regards, aap kee aglee behtareen kahaanee kaa muntazir, Jasho a_rzoo@hotmail.com (arzoo) wrote in message news:<8d4dca1d.0402101200.601949d4@posting.google.com>... > Na qabil-e- faramosh > > > Choti si thi jab us ki ammi us kay haathoon ka piyala bana kay > kehtin " dua mango hum Allah miyan kay ghar phir say jain" aur wo > foran ankhain sakhti say meech kay hil hil kay is jumlay ki gardaan > karnay lagti ye janay baghair ke Allah miyan ka ghar kia hay ? kahaan > hay? kaisa hay? > paanch saal ki umar main usay to bas itna maloom tha ke is naey > shehar main us ki aik hi saheeli " gurya " thi jis ka ghar waisa hi > sabz rang ka hay jaisa ke us ki man pasand frok ka . > > thori bari hoey to kitab ho ya Tv jahaan bhi nazer ata Us ki ammi > foran kehtin " Sna , ye daikho ye hay Allah miyan ka ghar " wo la > parwahi say tasweer ko daikh kay apni ammi kay chehray ko daikhnay > lagti jahaan na janay kia hota ke wo sochnay lagti ke us ki ammi ko > ye ghar kitna pasand hay , akhir kioon? > > waqt kay saath saath is chotay say sawal main aur buhut say sawaloon > ka izafa hota gaia , her saal anay wali Baqr Eid pe Haj aur Qurbani > kay alfaaz aur muhallay main kisi Haji kay anay ya janay ki khabrain > ,Aur sab say barh kay , 9 zil haj ko us ki ammi ka TV daikhnay ka > ishteyaaq , jaisay us kay ander tajasus aur shauq ki chingaryaan > roshan karnay lagta. > > dasween kay imtehaan say farigh hoey to gurya kay saath mil kay > palmistry ka shauq paal liya ,ab bas her aik ka hath paker kay baith > jaati . pehlay apna phir gurya ka phir ammi papa ka , phir saari class > main sab larkyoon ka , aur kartay kartay khandaan main mashhoor ho > gaey . apnay tak aur larkyoon tak shughal laganay ki baat to usay bari > pasand thi laikin jab bhi wo apni khala bi kay ghar jati wo aik hi > sawal kartin " Sna baiti, a zara daikh mairay hath main Haj ki lakeer > hay ke nahi " us nay aaj tak kisi kitaab main Haj ki lakeer nahi parhi > thi laikin wo aisay hi natak kar kay keh daiti "haan khala bi buhut > bari lakeer hay Haj ki " aur phir khala bi hath khainch laitin aur > pursakoon si ho jatin. khala bi kay is sawal ki waja say us nay kaey > kitabain chaanin laikin Haj ki lakeer kahin nahi mili . phir usay > apni khala bi ki tarha kaey log milay jo yehi sawal kartay " mairay > haath pe Haj ki lakeer hay ?" us kay paas is ka jawaab kabhi na hota > . Haj ki lakeer kay muamay say tang aa kay us nay is shughal ko > khair baad keh diya . > > College main gaey to is jaisay dunya aur bhi rangeen ho gaey , Allah > miyan kay ghar ki bajaey ab wo hazaar tareekhi jaghoon aur dunya ki > bay shumaar ala shaan emaratoon kay baray main parhnay lagi . > imartoon kay isi shauq ki waja say wo architecture main masters > karna chahti thi , college kay trips ka silsila bhi chalta raha aur > saath hi saath us kay kamray ki deewarain mukhtalif emartoon kay > posters say bharti rahin . aaj bhi wo abhi taj mehal ka khoobsoorat sa > poster laga rahi thi ke ammi ki awaz aey " Sna , gurya aey hay ." > jaldi say kursi say neechay utri , gurya kay anays say pehlay aina > daikha aur kursi jagah per rakhtay hi , darwazay pe khari Nida ko > garam joshi say salam kiya aur kaha " aray waah , aaj to eid kara di > tum nay " us nay galay miltay hoay kaha. " w , salaam . main nay socha > kabhi kabhi achanak bhi ana chahyay , ziada khushi hoti hay " Nida > baig maiz pe rakhtay hoay boli." to kia ho raha tha , " " aray wah > jaisay tum nay daikha hi nahi , ye daikho " us nay taj mehel kay > poster ki taraf ishara kartay hoay kaha . " waao ...that's nice" > kahaan say mara hay ?" Nida nay paas jatay hoay poocha ." maara nahi > yaar, khareeda hay pooray 75 rupay main" " maira khiyal hay ke dunya > main sirf 7 ujoobay hain laikin tumharay kamray main to hazaroon > ujooboon ki tasweerain lagi hain " Nida nay saray kamray ki deewaroon > per lagi , Eharaam-e- misr , Eiphel tower, Peica tower, WTC, Deewar-e- > cheen , Room aur Spain ki purani emartain, China Aur Pakistan ki > Dhair saari mashhoor-o- maroof emartoon ki choti bari hazaroon > tasweeroon per aik nazer dauratay hoay kaha . "Acha hay na kam az > kam tumharay bhaey jaan kay saRay hoay shauq say acha hay na jinhoon > nay dunya bhar ki garyaan saja rakhi hain dewaroon pe" Sna nay ankh > martay hoay khushgawaar mood main kaha . " Acha to kia tum un say > muqabla karti ho ""Nida nay maanee khaiz nazroon say daikhtay hoay > poocha ." main kahan , wo kartay hain mujh say muqabla " Sna nay > nazrain churatay hoay kaha aur saath hi poocha . " waisay japan ja kay > to buhut khush hoon gay ab" Nida nay qadray udasi say jawaab diya " > haan teen saal bad aein gay engeenering ki degree mukamal kar kay " > Sna nay usay chutki kaati aur hanstay hoay kaha " Aur aik added brand > new japani gaari aur japani gurya lay kay" aur saath hi donoon > hansnay lagin. > > chaar saal ka arsa parhayi main . imtehanoon main aur dunya ki > emartoon ko sarahatay hoay kab guzra Sna ko pata bhi na laga . is > dauraan Nida ki shadi ho gaey aur khud us ka nikah Nida kay bhaey > Arsalaan kay saath ho gaia aur ab do mah baad wo rukhsat ho kay > halkay sabz rang kay man pasand ghar main janay wali thi . wo apnay > kamray ki dewaroon per say tasweerain utaar kay sanbhaal kay rakh > rahi thi ke us ki ammi nay daikha to poocha " Sna !! ye tum saath lay > jao gi kia" " haan ammi jaan ,, bhala ye main bhool sakti hoon ..maira > asaasa hain ye" us nay lambay say dibbay ko band kartay hoay kaha ." > tauba hay , bhala in emartoon main Allah jany tumhain kia nazer ata > hay , wahan bhi ja kay ye gand sajao gi dewaroon pe " us ki ammi nay > nagawari say kaha . " ammi jaan aap ki baiti Architect hay koey mazaaq > nahi ...in kay baghair ab mairi pehchaan nahi. " us nay baray fakher > say kaha." acha tum pe to junoon sa sawaar hay , suna hay Japaan main > aur bhi khoobsoorat emartain hain ," us ki ammi nay sochtay hoay kaha > " haan ammi Arsalaan bata rahy thay , bas mujhay wahaan janay dain > phir daikhna kaisay kaisay design karoon gi " , " Acha tumharay janay > kay baad hum tumhari chachi kay paas Jeddah ja rahay hain hain aur > wahaan umray karain gay aur Haj kar kay wapas aein gay " us ki ammi > nay bari khushi say bataia . Sna nay ammi ki ankhoon main chamak > daikhi to sochnay lagi ke ammi ko mairi rukhsati ka koey dukh nahi > laikin Haj ki kitni khushi hay.laikin saath hi usay ye baat > tasaleebakhs bhi lagi kam az kam ab usay ammi papa ki itni fikar nahi > rahy gi. > > do maah baad rukhsat ho kay wo chand haftay Sabz ghar main rahi aur > phir Arsalaan kay saath japan chali aey . yahaan sharoo kay kaey > maheenay wo arsalaan kay saath mukhtalif jaghain daikhti rahi . phir > Arslaan ki company ki taraf say aik tour main wo log Itally bhi gaey > aur France bhi .dunya ko daikhnay kay saath saath usay ammmi papa kay > phone atay rahay . " kabhi Makkah ki fizaoon kay baray , kabhi > khana kaaba ki tareef kartay hoay aur kabhi madeenay raunaq kay > baray...wo sochti us kay seedhay saadhay waldain inhi do jaghoon ko > daikh kay itnay khush hain yahaan aa kay aaj ki duyna ki taraqi > daikhain to shaid sab bhool jain. > > Shadi kay doosray hi saal Arsalaan nay aik din kaha " Sna , main > soch raha hoon is baar ammi dady ko Haj karwaoon ..tumhara kia khiyal > hay?" ...Haj kay naam pe jaisay ,,, wo sakit si ho gaey , phir boli " > haan kioon nahi , mujhay kia aetraaz ho sakta hay " phir maiz pe kisi > naqshay pe jhuk gaey. " mager maira khiyal hay ke Hum bhi jain , > mauqa bhi hay aur ammi dady ko company bhi rahay gi " Arslaan nay > Sna kay haath say pencil pakartay hoay kaha. Sna ko aik dam kuch na > soojha , khoey khoey si boli" haan is say achi kia baat ho sakti hay > " .." bas phir tayari paker lo ", Arsalaan nay ghoom kay khushi say > kaha ... do mah baad wo Haj ki saari tayaroon kay saath jeddah > pohnchay jahan say Arsalan kay waldain ko saath liya aur haj kay > liyay rawana hoay .Sna aur Arsalaan nay Makkah jatay hoay dhair > saari kitaboon ko parha . Ehraam aur Haj kay saray arkaan ko > samjha . aur saas susar ki rahnumaey main Allahumma labaik parhtay > hoay hajyoon ki saf main shamil hoay. > > Masjid al haram say kaafi pehlay hi sarak pe chaltay hoay itnay > rash aur hujoom main Sna nay logoon kay chehroon pe ajeeb sa junoon > daikha , jaisay maqnatees lohay ko khainchta hay usay laga , sab log > kahin khichay chalay ja rahay hain. Allahuma labaik ka wird kartay > hoay wo zameen ko daikh kay chalnay lagi ke Arsalaan nay ishara kar > kay kaha "Sna ,samnay daikho" Sna nay daikha ..sufaid marbal ki > phaili hoaey emarat charoon taraf hajyoon ka hujoom aur fiza main > " Allahuma labaik kay wird kay jadoo main laal choocnhoon walay mast > kabooter , us kay rongattay kharay ho gaey aur qadam ruk gaey, > bait-Allah main usay buhut pehlay hi Allah ka jalaal aur shaan ander > tak mehsoos hoey .Arsalaan nay us ka haath dady ko thamaia aur khud > apni ammi ka hath paker liya . Bait-al haram main dakhil hoay to > jaisay logoon ka sailaab beh raha ho Sna ki nazer jaisay jhapakna > bhool gaey us kay samnay khana kaabah tha . kalay rang kay ghulaaf > main dhaka hoa , khoobsoorat Ayaat say muzayan , us ka dimaghjaisay > shal sa ho gaia ho , usay nahi yaad kab Dady nay usay paker kay > chalatay hoay tawaf main ghaseet liya. phir jaisay us sailab main wo > behnay lagi , dady nay usay yaad karaia ke tawaaf main kia tasbeeh > karni hay . laikin us ki nazer markaz say na hat saki . hajr-e- aswad > kay samnay dady kay kehnay pe takbeer -e- tehreema kahi aur phir > usi markez kay gird behnay lagi . usay nahi yaad zameen pe qadam lagay > ke nahi ? kitna fasla tay hoa ? kaisay hoa? bas aik ajeeb si baykhudi > si thi jis main say her baar dady ko usay nikalna parta . aur aglay > rukan kay liyay samjhana parta . > muqam-e- ibraheem kay baray bhi dady nay usay bataia warna usay to > yaad na rehta . > > tawaf kay baad saee kartay waqt bhi us ki nazer behak kay markaz pe > par jaati . too palatna bhool jaati . saee kay baad wo ammi kay saath > Zam zam ki taraf gaey . pehlay piyas bhujhaey phir zaiq mehsoos kiya > to usay laga ke nazer to paani ata hay laikin paani mehsoos kioon > nahi hota . koey nabeena aurat ankhoon pe laga rahi hay to koey apnay > bachy kay sir pe daal rahi hay . usay aik aik nal kay peechay > khawateen ki qatarain nazer ain . aik lamhay ko us nay socha lakhoon > ki taadaad main Haj aur aik Zam zam ka Kunwaan . aur phir hazaroon > saal purana . us kay rongattay phir kharay hoay . dimagh shal sa hoa > aur wo pagaloon ki tarah Zam zam kay paani kay cheentay monh pe > dalnay lagi. wo jaisay jaisay paani kay baray sochti rahi sirshaar > hoti rahi .wo to taqreeban poori bheeg hi chuki thi ke ammi nay kaha " > Sna , abhi kay liyay bas karo " kisi aur ki baari anay do." usay tab > ehsaas hoa ke usay to peechay khari ammi bhool hi gaey thin. wo > sharmindigi say jaldi say peechay hat gaey. > bait -al haram say mina jany lagay to bhi mur mur kay daikhti rahi . > Haj kay tamam manasik ada hotay rahay aur wo bhooli bhatki si > baykhaber si jaisay dunya bhool gaey ho. ammi dady aur Arsalaan ki > rah numaey na hoti to jaisay usay kuch soojhta hi na .maidaan > Araafaat main dhoop ki tamazet main nidhaal si kaifiyat main usay > mehsoos hoa . khali maidaan main kisi ala shaan emarat ka jadoo nahi > hay , aur sooraj ki hararat main rait kay zarray hain ya kuch pather > jo Allah ki tasbeeh biyan kartay hoay mehsoos ho rahy hain . darakht > aur insaan main abadat ka aik jaisa nasha tha jis kay agay Sna ko > kuch dikhaey na diya. kahan say peenay ko paani mil gaia , aur > kahaan say khanay ko khauraak kisi ko koey sar-o-kaar hi nahi jaisay > . Muzdalfa say kankaryaan uthatay waqt usay khiyal aaia ke ibadat > kay is hissay main kia lutf ho ga? > is sawal kay jawab main jab wo kankaryaan marnay gaey to daikha ke > jamaraat per kankaryaan aisay girrahi hain jaisay chakki main say > Aata . usay aur ammi ko Arsalaan aur dady aik jaga khara kar kay , > aga gaey aur sab kay hissay ki kankaryaan maar kay aey . Sna ko > ajeeb sa shauq jaga , neechay giri hoey kankaryaan utha kay wo us > taraf phainknay lagi. > > ab tak ki saari riazat kay dauraan usay neend ka ehsaas buhut kam > hoa , usay lagta tha jaisay us ka dimagh soay hoay bhi jaag raha hay . > Mina main qayam kay waqt albatta usay neend nay a liya , thakan ka > ehsaas jaga ye shaitaan ko kankaryaan marnay kay baad ka sakoon tha > shaid . Eid kay din naha dho kay , qurbaani kay baad , sab nay aik > doosray ko Haj ki mubarak di aur phir madeenay ki taraf chalay . > . tawaf al wida keh kay jab wo rukhsat honay lagi to jaisay sakoon > ka lafz yahin chore kay ja rahi ho . wo ronay lagi , ansoon main usay > yaad aaia ke itna to wo apni rukhsati kay waqt bhi nahi roey thi. usay > apni ammi ki ankhoon ki wo chamak yaad aa gaey jis nay unhain apni > baiti ki rukhsati bhula di thi. wo ye soch kay muskaey aur shukranay > ki dua mangaty hoay us nay Madeena munawara say anay waali hawa ko > khushi say mehsoos kiya . > > masjid Nabwi ki hudood kab sharoo hoey Sna ko nahi maloom albatta > logoon kay bahao main chalti hoey wo jahan tak ander ja sakti thi > chalti gaey . thandi pursakoon fiza say jaisay thakay hoay hajyoon ka > massag ho gai aho aur wo phir say tar-o- taza ho gaey hoon. > masjid nabwi ki khoobsoorat naey tarz ki wasee emarat main hafta > bhar namazain ada kin aur rozana hi Us muqadas jaali ko daikhnay ki > hasrat barhti gaey. wahaan auratoon aur mardoon ka elehda intezaam > tha aur ziyarat kay makhsoos auqaat thay .phir aik din asar ki namaz > kay baad unhain mauqa mil hi gaia . wo sunherijalyoon ko daikhnay lagi > aur nazer ander tak na janay kia dhoondhti rahi . wahaan darood -o- > salaam ka zikar tha charoon taraf . log duain kar rahay thay nawafil > parh rahay thay . ammi kay kehnay pe nafal ada kiya aur darood parhany > lagi . aik konay main wo baithi logoon kay hujoom kay darmiyaan say > jalyoon kay ander chaey hoay sakoot ko mehsoos karnay lagi . us nay > ankhain band kar lin ke un kay kanoon main peechay baithi aik khatoon > ki hichkiyoon ki awaazain sunaey din. wo halka sa muri. ansoon say > nahaia hoa chehra , dua mangtay hoay kamptay hoay hath . kamptay hoay > alfaaz . us nay zara tairana nigah daali to saray alam ka yehi haal > tha . girgiratay hoey . roti hoey . jholyaan aur daman phailey hoey .. > mangti hoey dunya . us ka dil jaisay halaq main aa kay thehar gia ho. > aik lamhay ko usay kuch nahi soojha ke wo kia mangay ...phir jaisay us > ki ammi ki awaaz sunaey di " Sna dua mango. hum Allah miyan kay ghar > phir say jain " aur jaisay wo kam sin ban gaey ho aur hil hil kay > yehi dua mangti gaey .usay yaad aaia ke Khala bi Haj ki khawhish > liyay hi dunya say rukhsat ho gaey thin . ...khala bi kay chehray kay > saath usay kaey chehray yaad aa gaey aur wo un kay liyay dua mangti > gaey ... > madeenay ki pur- raunaq dukaonoon say khajoorain aur tasbyaan > khareedin kuch aur masjidoon ki ziaratain kin aur wapsi ki tayari > hoey . Haj kay chand dinoo main hi wo dhair saari tabdeeli kay saath > . wapas Jeddah aa gaey . jahaan say Zamzam ki saughaat liyay Ammi aur > dady kay saath Japan aa gaey. > > Yahaan sab ki mubarkain milin , zam zam aur khajoorain bantin . aur > dawtain khaein. kisi nay usay Hajan kaha aur kisi nay khushqismat . > Zindigi jaisay us ki ab sharoo hoey thi . namaz ki pabandi kay saath > us nay dunay ki nit naey taraqi yafta emaroon say mehzooz hona chore > diya tha . wo aik qabil Architect thi ghar ko naey siray say muzayan > kiya .us kay office main ab aik say barh kay aali shaan masajid kay > posters thay , yehi haal ghar ka bhi tha . masjid nabwi kay > mukhtalif zavyay haray balb ki roshni main ghar main dakhil hotay hi > rah daari ki dewar pe tatreeb say lagay thay. aur ghar kay darmiyaan > .living main bait al haram ka nihayat hi khoobsoorat model tha . > aur is kay elawa aisa buhut kuch tha jin kay samany dunya jahaan > ki Architecture ki dunya hairaan aur mabhoot reh jati hay. aur kion > na hoon akhir ye dunya per azal say abad tak zinda rehnay wali > lazawaal emartain hain . jo ke kabhi dunya ka history nahi kehlain > gi. > > teen saal ka arsa guzra , Sna ki baiti Eman chotay qadmoon say > bhagti hoey aey aur maan kay braber baith kay , us ki taqleed main > hil hil kay kuch mangny lagi . Sna nay us kay haath piyalay ki tarha > banaey aur kaha ke " Eman ... mangoo ke hum Allah miyan kay ghar > phir jain " ye keh kay Sna nay Eman ki hathaili ko daikha ...aur > halki si muskaan say socha ke Allah karay is kay haath main Haj ki > lakeer zaroor ho , amin.
Re: aik kahani " na qabil-e- faramosh "
Author: zbirri@yahoo.com
Date: Sat, 14 Feb 2004 08:19
Date: Sat, 14 Feb 2004 08:19
14 lines
450 bytes
450 bytes
a_rzoo@hotmail.com (arzoo) wrote in message > Na qabil-e- faramosh > Arzoo Sahiba, aap_kii kahanii pa.Dhii, bahut hii Khuub hai. ise pa.Dh kar mujhe to aise mahsuus hua k aap Khud Haj kar ke aaii haiN, agar sach meiN aisaa hai, to merii jaanib se mubaarak_baad qubuul kiijiiye. agar nahiiN, to aap ke tassawur kii jitnii daad dii jaaye utnii kam hai. ummiid hai k aaiNdaa bhii aap_kii kahaaniiaaN pa.Dhne ko miltii raheNgii. _______________Zoya
Re: aik kahani " na qabil-e- faramosh "
Author: a_rzoo@hotmail.c
Date: Fri, 20 Feb 2004 07:44
Date: Fri, 20 Feb 2004 07:44
25 lines
904 bytes
904 bytes
Adaab, Zoya Aap ki daad aur tehsen ka shukriya , is baar main nay to nahi, albatta mairay waldain nay kiya hay. un ki taraf say khair mubarak .laikin inshallah kabhi na kabhi mairi baari bhi aey gi , aap dua kijyay ga . Allah is baat ki sab ko taufeeq day . amin aap ki daad ka aik baar phir teh-e- dil say shukriya . zbirri@yahoo.com (Zoya) wrote in message news:<2e750db.0402140819.4b5cc40b@posting.google.com>... > a_rzoo@hotmail.com (arzoo) wrote in message > > Na qabil-e- faramosh > > > Arzoo Sahiba, > > aap_kii kahanii pa.Dhii, bahut hii Khuub hai. ise pa.Dh kar mujhe to > aise mahsuus hua k aap Khud Haj kar ke aaii haiN, agar sach meiN aisaa > hai, to merii jaanib se mubaarak_baad qubuul kiijiiye. agar nahiiN, to > aap ke tassawur kii jitnii daad dii jaaye utnii kam hai. > > ummiid hai k aaiNdaa bhii aap_kii kahaaniiaaN pa.Dhne ko miltii > raheNgii. > > _______________Zoya
Re: aik kahani " na qabil-e- faramosh "
Author: a_rzoo@hotmail.c
Date: Fri, 20 Feb 2004 07:51
Date: Fri, 20 Feb 2004 07:51
324 lines
19843 bytes
19843 bytes
Adaab jasho , aap nay hamaisha ki tarha itna tafseeli jaiza liyay aur achi raey di . main bhi aap kay parhnay aur" manzer " daikhnay waali aankh ko daad daiti hoon . bay shak aap nay jo point uthaia wo baja hay , sna kay waldain kay sath kia hao ? aur us ki friend ka kia bana ? friend ki shadi ho gaey thi kahani main aur " waldain apnay waten main hi rahay. " haan mujhay aisichoti si detail bata daini chahyay thi . to kill the curiousity . aap nay sahee mairi ghalti pakri. main ainda muhtaat rahoon gi.inshallah laikin in cheezoon ko danastan inore kiya , kioonke kahani ka asal maqsad kuch aur tha . Aap ka buhut shukriya , itna tafseeli jawab diya , acha lagta hay jab kahani ka baghore jaiza liya ho kisi nay , kam az kam likhnay ka haq ada hota hay . umeed karti hoon ke ainda bhi aap ki raey mairay liyay guidance muhaya karay gi . aap ka buhut shukriya. arzoo yashowanto@yahoo.com (Yashowanto N. Ghosh) wrote in message news:<efffb540.0402101559.2f01de25@posting.google.com>... > Arzoo saahiba, aadaab arz! > > nayee kahaanee sunaane kaa bahut bahut shukriya! maasha Allaah > is baar bhee aap ne kyaa Khoob kahee hai---chhoTee see kahaanee > meiN aik duniyaa basaa kar rakh dee :) paRhte vaqt yooN lag > rahaa thaa k tamaam vaaqi'aat aaNkhoN ke saamne ho rahe haiN... > kahaanee kyaa hai, kisee film yaa Drame kaa asar rakhtee hai!! > > manzar-kashee, character development vGh. hasb e ma'amool Khoob > haiN (mere kehne kaa matlab yeh hai k aa'inda ham aap kee > tehreeroN par likhte vaqt in baatoN kee alag daad na deN > ge---it is automatically understood that your stories will > have these qualities! :)) ). > > qaabil e Ghaur hai k agarche kahaanee "third person" meiN kahee > gayee hai, sirf aik kirdaar ke dimaaGhee Haalaat/Khayaalaat > bayaan kiye gaye haiN (jaisaa k umooman "first person" meiN > kiyaa jaataa hai). is kaa asar bhee Khoob rahaa (aur mere > Khayaal se yeh kaam aasaan na hogaa, so is ke liye mubaarak-baad!) > > chand aik "loose strings" reh gaye haiN---paRhne vaaloN ke zehn > meiN shaayad yeh savaal reh jaayeN ge k Sana ke vaalidain kaa > kyaa huaa aur Nida kaa kyaa huaa. Khair yeh baat shaayad ziyaadah > ma'yoob bhee naheeN. > > unvaan (thoRaa-saa hee sahee) khaTak rahaa hai. "naa-qaabil e > faraamosh" tarkeeb Khoob hai, aur kahaanee meiN jin vaaqi'aat > kaa zikr hai voh yaqeenan naa-qaabil e faraamosh haiN, lekin > shaayad pooree kahaanee ke liye is se behtar unvaan milnaa > naa-mumkin naheeN ho gaa. > > With best regards, aap kee aglee behtareen kahaanee kaa muntazir, > > Jasho > > a_rzoo@hotmail.com (arzoo) wrote in message news:<8d4dca1d.0402101200.601949d4@posting.google.com>... > > Na qabil-e- faramosh > > > > > > Choti si thi jab us ki ammi us kay haathoon ka piyala bana kay > > kehtin " dua mango hum Allah miyan kay ghar phir say jain" aur wo > > foran ankhain sakhti say meech kay hil hil kay is jumlay ki gardaan > > karnay lagti ye janay baghair ke Allah miyan ka ghar kia hay ? kahaan > > hay? kaisa hay? > > paanch saal ki umar main usay to bas itna maloom tha ke is naey > > shehar main us ki aik hi saheeli " gurya " thi jis ka ghar waisa hi > > sabz rang ka hay jaisa ke us ki man pasand frok ka . > > > > thori bari hoey to kitab ho ya Tv jahaan bhi nazer ata Us ki ammi > > foran kehtin " Sna , ye daikho ye hay Allah miyan ka ghar " wo la > > parwahi say tasweer ko daikh kay apni ammi kay chehray ko daikhnay > > lagti jahaan na janay kia hota ke wo sochnay lagti ke us ki ammi ko > > ye ghar kitna pasand hay , akhir kioon? > > > > waqt kay saath saath is chotay say sawal main aur buhut say sawaloon > > ka izafa hota gaia , her saal anay wali Baqr Eid pe Haj aur Qurbani > > kay alfaaz aur muhallay main kisi Haji kay anay ya janay ki khabrain > > ,Aur sab say barh kay , 9 zil haj ko us ki ammi ka TV daikhnay ka > > ishteyaaq , jaisay us kay ander tajasus aur shauq ki chingaryaan > > roshan karnay lagta. > > > > dasween kay imtehaan say farigh hoey to gurya kay saath mil kay > > palmistry ka shauq paal liya ,ab bas her aik ka hath paker kay baith > > jaati . pehlay apna phir gurya ka phir ammi papa ka , phir saari class > > main sab larkyoon ka , aur kartay kartay khandaan main mashhoor ho > > gaey . apnay tak aur larkyoon tak shughal laganay ki baat to usay bari > > pasand thi laikin jab bhi wo apni khala bi kay ghar jati wo aik hi > > sawal kartin " Sna baiti, a zara daikh mairay hath main Haj ki lakeer > > hay ke nahi " us nay aaj tak kisi kitaab main Haj ki lakeer nahi parhi > > thi laikin wo aisay hi natak kar kay keh daiti "haan khala bi buhut > > bari lakeer hay Haj ki " aur phir khala bi hath khainch laitin aur > > pursakoon si ho jatin. khala bi kay is sawal ki waja say us nay kaey > > kitabain chaanin laikin Haj ki lakeer kahin nahi mili . phir usay > > apni khala bi ki tarha kaey log milay jo yehi sawal kartay " mairay > > haath pe Haj ki lakeer hay ?" us kay paas is ka jawaab kabhi na hota > > . Haj ki lakeer kay muamay say tang aa kay us nay is shughal ko > > khair baad keh diya . > > > > College main gaey to is jaisay dunya aur bhi rangeen ho gaey , Allah > > miyan kay ghar ki bajaey ab wo hazaar tareekhi jaghoon aur dunya ki > > bay shumaar ala shaan emaratoon kay baray main parhnay lagi . > > imartoon kay isi shauq ki waja say wo architecture main masters > > karna chahti thi , college kay trips ka silsila bhi chalta raha aur > > saath hi saath us kay kamray ki deewarain mukhtalif emartoon kay > > posters say bharti rahin . aaj bhi wo abhi taj mehal ka khoobsoorat sa > > poster laga rahi thi ke ammi ki awaz aey " Sna , gurya aey hay ." > > jaldi say kursi say neechay utri , gurya kay anays say pehlay aina > > daikha aur kursi jagah per rakhtay hi , darwazay pe khari Nida ko > > garam joshi say salam kiya aur kaha " aray waah , aaj to eid kara di > > tum nay " us nay galay miltay hoay kaha. " w , salaam . main nay socha > > kabhi kabhi achanak bhi ana chahyay , ziada khushi hoti hay " Nida > > baig maiz pe rakhtay hoay boli." to kia ho raha tha , " " aray wah > > jaisay tum nay daikha hi nahi , ye daikho " us nay taj mehel kay > > poster ki taraf ishara kartay hoay kaha . " waao ...that's nice" > > kahaan say mara hay ?" Nida nay paas jatay hoay poocha ." maara nahi > > yaar, khareeda hay pooray 75 rupay main" " maira khiyal hay ke dunya > > main sirf 7 ujoobay hain laikin tumharay kamray main to hazaroon > > ujooboon ki tasweerain lagi hain " Nida nay saray kamray ki deewaroon > > per lagi , Eharaam-e- misr , Eiphel tower, Peica tower, WTC, Deewar-e- > > cheen , Room aur Spain ki purani emartain, China Aur Pakistan ki > > Dhair saari mashhoor-o- maroof emartoon ki choti bari hazaroon > > tasweeroon per aik nazer dauratay hoay kaha . "Acha hay na kam az > > kam tumharay bhaey jaan kay saRay hoay shauq say acha hay na jinhoon > > nay dunya bhar ki garyaan saja rakhi hain dewaroon pe" Sna nay ankh > > martay hoay khushgawaar mood main kaha . " Acha to kia tum un say > > muqabla karti ho ""Nida nay maanee khaiz nazroon say daikhtay hoay > > poocha ." main kahan , wo kartay hain mujh say muqabla " Sna nay > > nazrain churatay hoay kaha aur saath hi poocha . " waisay japan ja kay > > to buhut khush hoon gay ab" Nida nay qadray udasi say jawaab diya " > > haan teen saal bad aein gay engeenering ki degree mukamal kar kay " > > Sna nay usay chutki kaati aur hanstay hoay kaha " Aur aik added brand > > new japani gaari aur japani gurya lay kay" aur saath hi donoon > > hansnay lagin. > > > > chaar saal ka arsa parhayi main . imtehanoon main aur dunya ki > > emartoon ko sarahatay hoay kab guzra Sna ko pata bhi na laga . is > > dauraan Nida ki shadi ho gaey aur khud us ka nikah Nida kay bhaey > > Arsalaan kay saath ho gaia aur ab do mah baad wo rukhsat ho kay > > halkay sabz rang kay man pasand ghar main janay wali thi . wo apnay > > kamray ki dewaroon per say tasweerain utaar kay sanbhaal kay rakh > > rahi thi ke us ki ammi nay daikha to poocha " Sna !! ye tum saath lay > > jao gi kia" " haan ammi jaan ,, bhala ye main bhool sakti hoon ..maira > > asaasa hain ye" us nay lambay say dibbay ko band kartay hoay kaha ." > > tauba hay , bhala in emartoon main Allah jany tumhain kia nazer ata > > hay , wahan bhi ja kay ye gand sajao gi dewaroon pe " us ki ammi nay > > nagawari say kaha . " ammi jaan aap ki baiti Architect hay koey mazaaq > > nahi ...in kay baghair ab mairi pehchaan nahi. " us nay baray fakher > > say kaha." acha tum pe to junoon sa sawaar hay , suna hay Japaan main > > aur bhi khoobsoorat emartain hain ," us ki ammi nay sochtay hoay kaha > > " haan ammi Arsalaan bata rahy thay , bas mujhay wahaan janay dain > > phir daikhna kaisay kaisay design karoon gi " , " Acha tumharay janay > > kay baad hum tumhari chachi kay paas Jeddah ja rahay hain hain aur > > wahaan umray karain gay aur Haj kar kay wapas aein gay " us ki ammi > > nay bari khushi say bataia . Sna nay ammi ki ankhoon main chamak > > daikhi to sochnay lagi ke ammi ko mairi rukhsati ka koey dukh nahi > > laikin Haj ki kitni khushi hay.laikin saath hi usay ye baat > > tasaleebakhs bhi lagi kam az kam ab usay ammi papa ki itni fikar nahi > > rahy gi. > > > > do maah baad rukhsat ho kay wo chand haftay Sabz ghar main rahi aur > > phir Arsalaan kay saath japan chali aey . yahaan sharoo kay kaey > > maheenay wo arsalaan kay saath mukhtalif jaghain daikhti rahi . phir > > Arslaan ki company ki taraf say aik tour main wo log Itally bhi gaey > > aur France bhi .dunya ko daikhnay kay saath saath usay ammmi papa kay > > phone atay rahay . " kabhi Makkah ki fizaoon kay baray , kabhi > > khana kaaba ki tareef kartay hoay aur kabhi madeenay raunaq kay > > baray...wo sochti us kay seedhay saadhay waldain inhi do jaghoon ko > > daikh kay itnay khush hain yahaan aa kay aaj ki duyna ki taraqi > > daikhain to shaid sab bhool jain. > > > > Shadi kay doosray hi saal Arsalaan nay aik din kaha " Sna , main > > soch raha hoon is baar ammi dady ko Haj karwaoon ..tumhara kia khiyal > > hay?" ...Haj kay naam pe jaisay ,,, wo sakit si ho gaey , phir boli " > > haan kioon nahi , mujhay kia aetraaz ho sakta hay " phir maiz pe kisi > > naqshay pe jhuk gaey. " mager maira khiyal hay ke Hum bhi jain , > > mauqa bhi hay aur ammi dady ko company bhi rahay gi " Arslaan nay > > Sna kay haath say pencil pakartay hoay kaha. Sna ko aik dam kuch na > > soojha , khoey khoey si boli" haan is say achi kia baat ho sakti hay > > " .." bas phir tayari paker lo ", Arsalaan nay ghoom kay khushi say > > kaha ... do mah baad wo Haj ki saari tayaroon kay saath jeddah > > pohnchay jahan say Arsalan kay waldain ko saath liya aur haj kay > > liyay rawana hoay .Sna aur Arsalaan nay Makkah jatay hoay dhair > > saari kitaboon ko parha . Ehraam aur Haj kay saray arkaan ko > > samjha . aur saas susar ki rahnumaey main Allahumma labaik parhtay > > hoay hajyoon ki saf main shamil hoay. > > > > Masjid al haram say kaafi pehlay hi sarak pe chaltay hoay itnay > > rash aur hujoom main Sna nay logoon kay chehroon pe ajeeb sa junoon > > daikha , jaisay maqnatees lohay ko khainchta hay usay laga , sab log > > kahin khichay chalay ja rahay hain. Allahuma labaik ka wird kartay > > hoay wo zameen ko daikh kay chalnay lagi ke Arsalaan nay ishara kar > > kay kaha "Sna ,samnay daikho" Sna nay daikha ..sufaid marbal ki > > phaili hoaey emarat charoon taraf hajyoon ka hujoom aur fiza main > > " Allahuma labaik kay wird kay jadoo main laal choocnhoon walay mast > > kabooter , us kay rongattay kharay ho gaey aur qadam ruk gaey, > > bait-Allah main usay buhut pehlay hi Allah ka jalaal aur shaan ander > > tak mehsoos hoey .Arsalaan nay us ka haath dady ko thamaia aur khud > > apni ammi ka hath paker liya . Bait-al haram main dakhil hoay to > > jaisay logoon ka sailaab beh raha ho Sna ki nazer jaisay jhapakna > > bhool gaey us kay samnay khana kaabah tha . kalay rang kay ghulaaf > > main dhaka hoa , khoobsoorat Ayaat say muzayan , us ka dimaghjaisay > > shal sa ho gaia ho , usay nahi yaad kab Dady nay usay paker kay > > chalatay hoay tawaf main ghaseet liya. phir jaisay us sailab main wo > > behnay lagi , dady nay usay yaad karaia ke tawaaf main kia tasbeeh > > karni hay . laikin us ki nazer markaz say na hat saki . hajr-e- aswad > > kay samnay dady kay kehnay pe takbeer -e- tehreema kahi aur phir > > usi markez kay gird behnay lagi . usay nahi yaad zameen pe qadam lagay > > ke nahi ? kitna fasla tay hoa ? kaisay hoa? bas aik ajeeb si baykhudi > > si thi jis main say her baar dady ko usay nikalna parta . aur aglay > > rukan kay liyay samjhana parta . > > muqam-e- ibraheem kay baray bhi dady nay usay bataia warna usay to > > yaad na rehta . > > > > tawaf kay baad saee kartay waqt bhi us ki nazer behak kay markaz pe > > par jaati . too palatna bhool jaati . saee kay baad wo ammi kay saath > > Zam zam ki taraf gaey . pehlay piyas bhujhaey phir zaiq mehsoos kiya > > to usay laga ke nazer to paani ata hay laikin paani mehsoos kioon > > nahi hota . koey nabeena aurat ankhoon pe laga rahi hay to koey apnay > > bachy kay sir pe daal rahi hay . usay aik aik nal kay peechay > > khawateen ki qatarain nazer ain . aik lamhay ko us nay socha lakhoon > > ki taadaad main Haj aur aik Zam zam ka Kunwaan . aur phir hazaroon > > saal purana . us kay rongattay phir kharay hoay . dimagh shal sa hoa > > aur wo pagaloon ki tarah Zam zam kay paani kay cheentay monh pe > > dalnay lagi. wo jaisay jaisay paani kay baray sochti rahi sirshaar > > hoti rahi .wo to taqreeban poori bheeg hi chuki thi ke ammi nay kaha " > > Sna , abhi kay liyay bas karo " kisi aur ki baari anay do." usay tab > > ehsaas hoa ke usay to peechay khari ammi bhool hi gaey thin. wo > > sharmindigi say jaldi say peechay hat gaey. > > bait -al haram say mina jany lagay to bhi mur mur kay daikhti rahi . > > Haj kay tamam manasik ada hotay rahay aur wo bhooli bhatki si > > baykhaber si jaisay dunya bhool gaey ho. ammi dady aur Arsalaan ki > > rah numaey na hoti to jaisay usay kuch soojhta hi na .maidaan > > Araafaat main dhoop ki tamazet main nidhaal si kaifiyat main usay > > mehsoos hoa . khali maidaan main kisi ala shaan emarat ka jadoo nahi > > hay , aur sooraj ki hararat main rait kay zarray hain ya kuch pather > > jo Allah ki tasbeeh biyan kartay hoay mehsoos ho rahy hain . darakht > > aur insaan main abadat ka aik jaisa nasha tha jis kay agay Sna ko > > kuch dikhaey na diya. kahan say peenay ko paani mil gaia , aur > > kahaan say khanay ko khauraak kisi ko koey sar-o-kaar hi nahi jaisay > > . Muzdalfa say kankaryaan uthatay waqt usay khiyal aaia ke ibadat > > kay is hissay main kia lutf ho ga? > > is sawal kay jawab main jab wo kankaryaan marnay gaey to daikha ke > > jamaraat per kankaryaan aisay girrahi hain jaisay chakki main say > > Aata . usay aur ammi ko Arsalaan aur dady aik jaga khara kar kay , > > aga gaey aur sab kay hissay ki kankaryaan maar kay aey . Sna ko > > ajeeb sa shauq jaga , neechay giri hoey kankaryaan utha kay wo us > > taraf phainknay lagi. > > > > ab tak ki saari riazat kay dauraan usay neend ka ehsaas buhut kam > > hoa , usay lagta tha jaisay us ka dimagh soay hoay bhi jaag raha hay . > > Mina main qayam kay waqt albatta usay neend nay a liya , thakan ka > > ehsaas jaga ye shaitaan ko kankaryaan marnay kay baad ka sakoon tha > > shaid . Eid kay din naha dho kay , qurbaani kay baad , sab nay aik > > doosray ko Haj ki mubarak di aur phir madeenay ki taraf chalay . > > . tawaf al wida keh kay jab wo rukhsat honay lagi to jaisay sakoon > > ka lafz yahin chore kay ja rahi ho . wo ronay lagi , ansoon main usay > > yaad aaia ke itna to wo apni rukhsati kay waqt bhi nahi roey thi. usay > > apni ammi ki ankhoon ki wo chamak yaad aa gaey jis nay unhain apni > > baiti ki rukhsati bhula di thi. wo ye soch kay muskaey aur shukranay > > ki dua mangaty hoay us nay Madeena munawara say anay waali hawa ko > > khushi say mehsoos kiya . > > > > masjid Nabwi ki hudood kab sharoo hoey Sna ko nahi maloom albatta > > logoon kay bahao main chalti hoey wo jahan tak ander ja sakti thi > > chalti gaey . thandi pursakoon fiza say jaisay thakay hoay hajyoon ka > > massag ho gai aho aur wo phir say tar-o- taza ho gaey hoon. > > masjid nabwi ki khoobsoorat naey tarz ki wasee emarat main hafta > > bhar namazain ada kin aur rozana hi Us muqadas jaali ko daikhnay ki > > hasrat barhti gaey. wahaan auratoon aur mardoon ka elehda intezaam > > tha aur ziyarat kay makhsoos auqaat thay .phir aik din asar ki namaz > > kay baad unhain mauqa mil hi gaia . wo sunherijalyoon ko daikhnay lagi > > aur nazer ander tak na janay kia dhoondhti rahi . wahaan darood -o- > > salaam ka zikar tha charoon taraf . log duain kar rahay thay nawafil > > parh rahay thay . ammi kay kehnay pe nafal ada kiya aur darood parhany > > lagi . aik konay main wo baithi logoon kay hujoom kay darmiyaan say > > jalyoon kay ander chaey hoay sakoot ko mehsoos karnay lagi . us nay > > ankhain band kar lin ke un kay kanoon main peechay baithi aik khatoon > > ki hichkiyoon ki awaazain sunaey din. wo halka sa muri. ansoon say > > nahaia hoa chehra , dua mangtay hoay kamptay hoay hath . kamptay hoay > > alfaaz . us nay zara tairana nigah daali to saray alam ka yehi haal > > tha . girgiratay hoey . roti hoey . jholyaan aur daman phailey hoey .. > > mangti hoey dunya . us ka dil jaisay halaq main aa kay thehar gia ho. > > aik lamhay ko usay kuch nahi soojha ke wo kia mangay ...phir jaisay us > > ki ammi ki awaaz sunaey di " Sna dua mango. hum Allah miyan kay ghar > > phir say jain " aur jaisay wo kam sin ban gaey ho aur hil hil kay > > yehi dua mangti gaey .usay yaad aaia ke Khala bi Haj ki khawhish > > liyay hi dunya say rukhsat ho gaey thin . ...khala bi kay chehray kay > > saath usay kaey chehray yaad aa gaey aur wo un kay liyay dua mangti > > gaey ... > > madeenay ki pur- raunaq dukaonoon say khajoorain aur tasbyaan > > khareedin kuch aur masjidoon ki ziaratain kin aur wapsi ki tayari > > hoey . Haj kay chand dinoo main hi wo dhair saari tabdeeli kay saath > > . wapas Jeddah aa gaey . jahaan say Zamzam ki saughaat liyay Ammi aur > > dady kay saath Japan aa gaey. > > > > Yahaan sab ki mubarkain milin , zam zam aur khajoorain bantin . aur > > dawtain khaein. kisi nay usay Hajan kaha aur kisi nay khushqismat . > > Zindigi jaisay us ki ab sharoo hoey thi . namaz ki pabandi kay saath > > us nay dunay ki nit naey taraqi yafta emaroon say mehzooz hona chore > > diya tha . wo aik qabil Architect thi ghar ko naey siray say muzayan > > kiya .us kay office main ab aik say barh kay aali shaan masajid kay > > posters thay , yehi haal ghar ka bhi tha . masjid nabwi kay > > mukhtalif zavyay haray balb ki roshni main ghar main dakhil hotay hi > > rah daari ki dewar pe tatreeb say lagay thay. aur ghar kay darmiyaan > > .living main bait al haram ka nihayat hi khoobsoorat model tha . > > aur is kay elawa aisa buhut kuch tha jin kay samany dunya jahaan > > ki Architecture ki dunya hairaan aur mabhoot reh jati hay. aur kion > > na hoon akhir ye dunya per azal say abad tak zinda rehnay wali > > lazawaal emartain hain . jo ke kabhi dunya ka history nahi kehlain > > gi. > > > > teen saal ka arsa guzra , Sna ki baiti Eman chotay qadmoon say > > bhagti hoey aey aur maan kay braber baith kay , us ki taqleed main > > hil hil kay kuch mangny lagi . Sna nay us kay haath piyalay ki tarha > > banaey aur kaha ke " Eman ... mangoo ke hum Allah miyan kay ghar > > phir jain " ye keh kay Sna nay Eman ki hathaili ko daikha ...aur > > halki si muskaan say socha ke Allah karay is kay haath main Haj ki > > lakeer zaroor ho , amin.
Re: aik kahani " na qabil-e- faramosh "
Author: jalalk652@gmail.
Date: Fri, 27 Apr 2018 22:55
Date: Fri, 27 Apr 2018 22:55
263 lines
16699 bytes
16699 bytes
On Wednesday, February 11, 2004 at 1:00:07 AM UTC+5, arzoo wrote: > Na qabil-e- faramosh > > > Choti si thi jab us ki ammi us kay haathoon ka piyala bana kay > kehtin " dua mango hum Allah miyan kay ghar phir say jain" aur wo > foran ankhain sakhti say meech kay hil hil kay is jumlay ki gardaan > karnay lagti ye janay baghair ke Allah miyan ka ghar kia hay ? kahaan > hay? kaisa hay? > paanch saal ki umar main usay to bas itna maloom tha ke is naey > shehar main us ki aik hi saheeli " gurya " thi jis ka ghar waisa hi > sabz rang ka hay jaisa ke us ki man pasand frok ka . > > thori bari hoey to kitab ho ya Tv jahaan bhi nazer ata Us ki ammi > foran kehtin " Sna , ye daikho ye hay Allah miyan ka ghar " wo la > parwahi say tasweer ko daikh kay apni ammi kay chehray ko daikhnay > lagti jahaan na janay kia hota ke wo sochnay lagti ke us ki ammi ko > ye ghar kitna pasand hay , akhir kioon? > > waqt kay saath saath is chotay say sawal main aur buhut say sawaloon > ka izafa hota gaia , her saal anay wali Baqr Eid pe Haj aur Qurbani > kay alfaaz aur muhallay main kisi Haji kay anay ya janay ki khabrain > ,Aur sab say barh kay , 9 zil haj ko us ki ammi ka TV daikhnay ka > ishteyaaq , jaisay us kay ander tajasus aur shauq ki chingaryaan > roshan karnay lagta. > > dasween kay imtehaan say farigh hoey to gurya kay saath mil kay > palmistry ka shauq paal liya ,ab bas her aik ka hath paker kay baith > jaati . pehlay apna phir gurya ka phir ammi papa ka , phir saari class > main sab larkyoon ka , aur kartay kartay khandaan main mashhoor ho > gaey . apnay tak aur larkyoon tak shughal laganay ki baat to usay bari > pasand thi laikin jab bhi wo apni khala bi kay ghar jati wo aik hi > sawal kartin " Sna baiti, a zara daikh mairay hath main Haj ki lakeer > hay ke nahi " us nay aaj tak kisi kitaab main Haj ki lakeer nahi parhi > thi laikin wo aisay hi natak kar kay keh daiti "haan khala bi buhut > bari lakeer hay Haj ki " aur phir khala bi hath khainch laitin aur > pursakoon si ho jatin. khala bi kay is sawal ki waja say us nay kaey > kitabain chaanin laikin Haj ki lakeer kahin nahi mili . phir usay > apni khala bi ki tarha kaey log milay jo yehi sawal kartay " mairay > haath pe Haj ki lakeer hay ?" us kay paas is ka jawaab kabhi na hota > . Haj ki lakeer kay muamay say tang aa kay us nay is shughal ko > khair baad keh diya . > > College main gaey to is jaisay dunya aur bhi rangeen ho gaey , Allah > miyan kay ghar ki bajaey ab wo hazaar tareekhi jaghoon aur dunya ki > bay shumaar ala shaan emaratoon kay baray main parhnay lagi . > imartoon kay isi shauq ki waja say wo architecture main masters > karna chahti thi , college kay trips ka silsila bhi chalta raha aur > saath hi saath us kay kamray ki deewarain mukhtalif emartoon kay > posters say bharti rahin . aaj bhi wo abhi taj mehal ka khoobsoorat sa > poster laga rahi thi ke ammi ki awaz aey " Sna , gurya aey hay ." > jaldi say kursi say neechay utri , gurya kay anays say pehlay aina > daikha aur kursi jagah per rakhtay hi , darwazay pe khari Nida ko > garam joshi say salam kiya aur kaha " aray waah , aaj to eid kara di > tum nay " us nay galay miltay hoay kaha. " w , salaam . main nay socha > kabhi kabhi achanak bhi ana chahyay , ziada khushi hoti hay " Nida > baig maiz pe rakhtay hoay boli." to kia ho raha tha , " " aray wah > jaisay tum nay daikha hi nahi , ye daikho " us nay taj mehel kay > poster ki taraf ishara kartay hoay kaha . " waao ...that's nice" > kahaan say mara hay ?" Nida nay paas jatay hoay poocha ." maara nahi > yaar, khareeda hay pooray 75 rupay main" " maira khiyal hay ke dunya > main sirf 7 ujoobay hain laikin tumharay kamray main to hazaroon > ujooboon ki tasweerain lagi hain " Nida nay saray kamray ki deewaroon > per lagi , Eharaam-e- misr , Eiphel tower, Peica tower, WTC, Deewar-e- > cheen , Room aur Spain ki purani emartain, China Aur Pakistan ki > Dhair saari mashhoor-o- maroof emartoon ki choti bari hazaroon > tasweeroon per aik nazer dauratay hoay kaha . "Acha hay na kam az > kam tumharay bhaey jaan kay saRay hoay shauq say acha hay na jinhoon > nay dunya bhar ki garyaan saja rakhi hain dewaroon pe" Sna nay ankh > martay hoay khushgawaar mood main kaha . " Acha to kia tum un say > muqabla karti ho ""Nida nay maanee khaiz nazroon say daikhtay hoay > poocha ." main kahan , wo kartay hain mujh say muqabla " Sna nay > nazrain churatay hoay kaha aur saath hi poocha . " waisay japan ja kay > to buhut khush hoon gay ab" Nida nay qadray udasi say jawaab diya " > haan teen saal bad aein gay engeenering ki degree mukamal kar kay " > Sna nay usay chutki kaati aur hanstay hoay kaha " Aur aik added brand > new japani gaari aur japani gurya lay kay" aur saath hi donoon > hansnay lagin. > > chaar saal ka arsa parhayi main . imtehanoon main aur dunya ki > emartoon ko sarahatay hoay kab guzra Sna ko pata bhi na laga . is > dauraan Nida ki shadi ho gaey aur khud us ka nikah Nida kay bhaey > Arsalaan kay saath ho gaia aur ab do mah baad wo rukhsat ho kay > halkay sabz rang kay man pasand ghar main janay wali thi . wo apnay > kamray ki dewaroon per say tasweerain utaar kay sanbhaal kay rakh > rahi thi ke us ki ammi nay daikha to poocha " Sna !! ye tum saath lay > jao gi kia" " haan ammi jaan ,, bhala ye main bhool sakti hoon ..maira > asaasa hain ye" us nay lambay say dibbay ko band kartay hoay kaha ." > tauba hay , bhala in emartoon main Allah jany tumhain kia nazer ata > hay , wahan bhi ja kay ye gand sajao gi dewaroon pe " us ki ammi nay > nagawari say kaha . " ammi jaan aap ki baiti Architect hay koey mazaaq > nahi ...in kay baghair ab mairi pehchaan nahi. " us nay baray fakher > say kaha." acha tum pe to junoon sa sawaar hay , suna hay Japaan main > aur bhi khoobsoorat emartain hain ," us ki ammi nay sochtay hoay kaha > " haan ammi Arsalaan bata rahy thay , bas mujhay wahaan janay dain > phir daikhna kaisay kaisay design karoon gi " , " Acha tumharay janay > kay baad hum tumhari chachi kay paas Jeddah ja rahay hain hain aur > wahaan umray karain gay aur Haj kar kay wapas aein gay " us ki ammi > nay bari khushi say bataia . Sna nay ammi ki ankhoon main chamak > daikhi to sochnay lagi ke ammi ko mairi rukhsati ka koey dukh nahi > laikin Haj ki kitni khushi hay.laikin saath hi usay ye baat > tasaleebakhs bhi lagi kam az kam ab usay ammi papa ki itni fikar nahi > rahy gi. > > do maah baad rukhsat ho kay wo chand haftay Sabz ghar main rahi aur > phir Arsalaan kay saath japan chali aey . yahaan sharoo kay kaey > maheenay wo arsalaan kay saath mukhtalif jaghain daikhti rahi . phir > Arslaan ki company ki taraf say aik tour main wo log Itally bhi gaey > aur France bhi .dunya ko daikhnay kay saath saath usay ammmi papa kay > phone atay rahay . " kabhi Makkah ki fizaoon kay baray , kabhi > khana kaaba ki tareef kartay hoay aur kabhi madeenay raunaq kay > baray...wo sochti us kay seedhay saadhay waldain inhi do jaghoon ko > daikh kay itnay khush hain yahaan aa kay aaj ki duyna ki taraqi > daikhain to shaid sab bhool jain. > > Shadi kay doosray hi saal Arsalaan nay aik din kaha " Sna , main > soch raha hoon is baar ammi dady ko Haj karwaoon ..tumhara kia khiyal > hay?" ...Haj kay naam pe jaisay ,,, wo sakit si ho gaey , phir boli " > haan kioon nahi , mujhay kia aetraaz ho sakta hay " phir maiz pe kisi > naqshay pe jhuk gaey. " mager maira khiyal hay ke Hum bhi jain , > mauqa bhi hay aur ammi dady ko company bhi rahay gi " Arslaan nay > Sna kay haath say pencil pakartay hoay kaha. Sna ko aik dam kuch na > soojha , khoey khoey si boli" haan is say achi kia baat ho sakti hay > " .." bas phir tayari paker lo ", Arsalaan nay ghoom kay khushi say > kaha ... do mah baad wo Haj ki saari tayaroon kay saath jeddah > pohnchay jahan say Arsalan kay waldain ko saath liya aur haj kay > liyay rawana hoay .Sna aur Arsalaan nay Makkah jatay hoay dhair > saari kitaboon ko parha . Ehraam aur Haj kay saray arkaan ko > samjha . aur saas susar ki rahnumaey main Allahumma labaik parhtay > hoay hajyoon ki saf main shamil hoay. > > Masjid al haram say kaafi pehlay hi sarak pe chaltay hoay itnay > rash aur hujoom main Sna nay logoon kay chehroon pe ajeeb sa junoon > daikha , jaisay maqnatees lohay ko khainchta hay usay laga , sab log > kahin khichay chalay ja rahay hain. Allahuma labaik ka wird kartay > hoay wo zameen ko daikh kay chalnay lagi ke Arsalaan nay ishara kar > kay kaha "Sna ,samnay daikho" Sna nay daikha ..sufaid marbal ki > phaili hoaey emarat charoon taraf hajyoon ka hujoom aur fiza main > " Allahuma labaik kay wird kay jadoo main laal choocnhoon walay mast > kabooter , us kay rongattay kharay ho gaey aur qadam ruk gaey, > bait-Allah main usay buhut pehlay hi Allah ka jalaal aur shaan ander > tak mehsoos hoey .Arsalaan nay us ka haath dady ko thamaia aur khud > apni ammi ka hath paker liya . Bait-al haram main dakhil hoay to > jaisay logoon ka sailaab beh raha ho Sna ki nazer jaisay jhapakna > bhool gaey us kay samnay khana kaabah tha . kalay rang kay ghulaaf > main dhaka hoa , khoobsoorat Ayaat say muzayan , us ka dimaghjaisay > shal sa ho gaia ho , usay nahi yaad kab Dady nay usay paker kay > chalatay hoay tawaf main ghaseet liya. phir jaisay us sailab main wo > behnay lagi , dady nay usay yaad karaia ke tawaaf main kia tasbeeh > karni hay . laikin us ki nazer markaz say na hat saki . hajr-e- aswad > kay samnay dady kay kehnay pe takbeer -e- tehreema kahi aur phir > usi markez kay gird behnay lagi . usay nahi yaad zameen pe qadam lagay > ke nahi ? kitna fasla tay hoa ? kaisay hoa? bas aik ajeeb si baykhudi > si thi jis main say her baar dady ko usay nikalna parta . aur aglay > rukan kay liyay samjhana parta . > muqam-e- ibraheem kay baray bhi dady nay usay bataia warna usay to > yaad na rehta . > > tawaf kay baad saee kartay waqt bhi us ki nazer behak kay markaz pe > par jaati . too palatna bhool jaati . saee kay baad wo ammi kay saath > Zam zam ki taraf gaey . pehlay piyas bhujhaey phir zaiq mehsoos kiya > to usay laga ke nazer to paani ata hay laikin paani mehsoos kioon > nahi hota . koey nabeena aurat ankhoon pe laga rahi hay to koey apnay > bachy kay sir pe daal rahi hay . usay aik aik nal kay peechay > khawateen ki qatarain nazer ain . aik lamhay ko us nay socha lakhoon > ki taadaad main Haj aur aik Zam zam ka Kunwaan . aur phir hazaroon > saal purana . us kay rongattay phir kharay hoay . dimagh shal sa hoa > aur wo pagaloon ki tarah Zam zam kay paani kay cheentay monh pe > dalnay lagi. wo jaisay jaisay paani kay baray sochti rahi sirshaar > hoti rahi .wo to taqreeban poori bheeg hi chuki thi ke ammi nay kaha " > Sna , abhi kay liyay bas karo " kisi aur ki baari anay do." usay tab > ehsaas hoa ke usay to peechay khari ammi bhool hi gaey thin. wo > sharmindigi say jaldi say peechay hat gaey. > bait -al haram say mina jany lagay to bhi mur mur kay daikhti rahi . > Haj kay tamam manasik ada hotay rahay aur wo bhooli bhatki si > baykhaber si jaisay dunya bhool gaey ho. ammi dady aur Arsalaan ki > rah numaey na hoti to jaisay usay kuch soojhta hi na .maidaan > Araafaat main dhoop ki tamazet main nidhaal si kaifiyat main usay > mehsoos hoa . khali maidaan main kisi ala shaan emarat ka jadoo nahi > hay , aur sooraj ki hararat main rait kay zarray hain ya kuch pather > jo Allah ki tasbeeh biyan kartay hoay mehsoos ho rahy hain . darakht > aur insaan main abadat ka aik jaisa nasha tha jis kay agay Sna ko > kuch dikhaey na diya. kahan say peenay ko paani mil gaia , aur > kahaan say khanay ko khauraak kisi ko koey sar-o-kaar hi nahi jaisay > . Muzdalfa say kankaryaan uthatay waqt usay khiyal aaia ke ibadat > kay is hissay main kia lutf ho ga? > is sawal kay jawab main jab wo kankaryaan marnay gaey to daikha ke > jamaraat per kankaryaan aisay girrahi hain jaisay chakki main say > Aata . usay aur ammi ko Arsalaan aur dady aik jaga khara kar kay , > aga gaey aur sab kay hissay ki kankaryaan maar kay aey . Sna ko > ajeeb sa shauq jaga , neechay giri hoey kankaryaan utha kay wo us > taraf phainknay lagi. > > ab tak ki saari riazat kay dauraan usay neend ka ehsaas buhut kam > hoa , usay lagta tha jaisay us ka dimagh soay hoay bhi jaag raha hay . > Mina main qayam kay waqt albatta usay neend nay a liya , thakan ka > ehsaas jaga ye shaitaan ko kankaryaan marnay kay baad ka sakoon tha > shaid . Eid kay din naha dho kay , qurbaani kay baad , sab nay aik > doosray ko Haj ki mubarak di aur phir madeenay ki taraf chalay . > . tawaf al wida keh kay jab wo rukhsat honay lagi to jaisay sakoon > ka lafz yahin chore kay ja rahi ho . wo ronay lagi , ansoon main usay > yaad aaia ke itna to wo apni rukhsati kay waqt bhi nahi roey thi. usay > apni ammi ki ankhoon ki wo chamak yaad aa gaey jis nay unhain apni > baiti ki rukhsati bhula di thi. wo ye soch kay muskaey aur shukranay > ki dua mangaty hoay us nay Madeena munawara say anay waali hawa ko > khushi say mehsoos kiya . > > masjid Nabwi ki hudood kab sharoo hoey Sna ko nahi maloom albatta > logoon kay bahao main chalti hoey wo jahan tak ander ja sakti thi > chalti gaey . thandi pursakoon fiza say jaisay thakay hoay hajyoon ka > massag ho gai aho aur wo phir say tar-o- taza ho gaey hoon. > masjid nabwi ki khoobsoorat naey tarz ki wasee emarat main hafta > bhar namazain ada kin aur rozana hi Us muqadas jaali ko daikhnay ki > hasrat barhti gaey. wahaan auratoon aur mardoon ka elehda intezaam > tha aur ziyarat kay makhsoos auqaat thay .phir aik din asar ki namaz > kay baad unhain mauqa mil hi gaia . wo sunherijalyoon ko daikhnay lagi > aur nazer ander tak na janay kia dhoondhti rahi . wahaan darood -o- > salaam ka zikar tha charoon taraf . log duain kar rahay thay nawafil > parh rahay thay . ammi kay kehnay pe nafal ada kiya aur darood parhany > lagi . aik konay main wo baithi logoon kay hujoom kay darmiyaan say > jalyoon kay ander chaey hoay sakoot ko mehsoos karnay lagi . us nay > ankhain band kar lin ke un kay kanoon main peechay baithi aik khatoon > ki hichkiyoon ki awaazain sunaey din. wo halka sa muri. ansoon say > nahaia hoa chehra , dua mangtay hoay kamptay hoay hath . kamptay hoay > alfaaz . us nay zara tairana nigah daali to saray alam ka yehi haal > tha . girgiratay hoey . roti hoey . jholyaan aur daman phailey hoey .. > mangti hoey dunya . us ka dil jaisay halaq main aa kay thehar gia ho. > aik lamhay ko usay kuch nahi soojha ke wo kia mangay ...phir jaisay us > ki ammi ki awaaz sunaey di " Sna dua mango. hum Allah miyan kay ghar > phir say jain " aur jaisay wo kam sin ban gaey ho aur hil hil kay > yehi dua mangti gaey .usay yaad aaia ke Khala bi Haj ki khawhish > liyay hi dunya say rukhsat ho gaey thin . ...khala bi kay chehray kay > saath usay kaey chehray yaad aa gaey aur wo un kay liyay dua mangti > gaey ... > madeenay ki pur- raunaq dukaonoon say khajoorain aur tasbyaan > khareedin kuch aur masjidoon ki ziaratain kin aur wapsi ki tayari > hoey . Haj kay chand dinoo main hi wo dhair saari tabdeeli kay saath > . wapas Jeddah aa gaey . jahaan say Zamzam ki saughaat liyay Ammi aur > dady kay saath Japan aa gaey. > > Yahaan sab ki mubarkain milin , zam zam aur khajoorain bantin . aur > dawtain khaein. kisi nay usay Hajan kaha aur kisi nay khushqismat . > Zindigi jaisay us ki ab sharoo hoey thi . namaz ki pabandi kay saath > us nay dunay ki nit naey taraqi yafta emaroon say mehzooz hona chore > diya tha . wo aik qabil Architect thi ghar ko naey siray say muzayan > kiya .us kay office main ab aik say barh kay aali shaan masajid kay > posters thay , yehi haal ghar ka bhi tha . masjid nabwi kay > mukhtalif zavyay haray balb ki roshni main ghar main dakhil hotay hi > rah daari ki dewar pe tatreeb say lagay thay. aur ghar kay darmiyaan > .living main bait al haram ka nihayat hi khoobsoorat model tha . > aur is kay elawa aisa buhut kuch tha jin kay samany dunya jahaan > ki Architecture ki dunya hairaan aur mabhoot reh jati hay. aur kion > na hoon akhir ye dunya per azal say abad tak zinda rehnay wali > lazawaal emartain hain . jo ke kabhi dunya ka history nahi kehlain > gi. > > teen saal ka arsa guzra , Sna ki baiti Eman chotay qadmoon say > bhagti hoey aey aur maan kay braber baith kay , us ki taqleed main > hil hil kay kuch mangny lagi . Sna nay us kay haath piyalay ki tarha > banaey aur kaha ke " Eman ... mangoo ke hum Allah miyan kay ghar > phir jain " ye keh kay Sna nay Eman ki hathaili ko daikha ...aur > halki si muskaan say socha ke Allah karay is kay haath main Haj ki > lakeer zaroor ho , amin.
Re: aik kahani " na qabil-e- faramosh "
Author: zahid malik Mali
Date: Mon, 26 Dec 2022 06:15
Date: Mon, 26 Dec 2022 06:15
265 lines
17227 bytes
17227 bytes
On Friday, April 27, 2018 at 10:56:00 PM UTC-7, jala...@gmail.com wrote: > On Wednesday, February 11, 2004 at 1:00:07 AM UTC+5, arzoo wrote: > > Na qabil-e- faramosh > > > > > > Choti si thi jab us ki ammi us kay haathoon ka piyala bana kay > > kehtin " dua mango hum Allah miyan kay ghar phir say jain" aur wo > > foran ankhain sakhti say meech kay hil hil kay is jumlay ki gardaan > > karnay lagti ye janay baghair ke Allah miyan ka ghar kia hay ? kahaan > > hay? kaisa hay? > > paanch saal ki umar main usay to bas itna maloom tha ke is naey > > shehar main us ki aik hi saheeli " gurya " thi jis ka ghar waisa hi > > sabz rang ka hay jaisa ke us ki man pasand frok ka . > > > > thori bari hoey to kitab ho ya Tv jahaan bhi nazer ata Us ki ammi > > foran kehtin " Sna , ye daikho ye hay Allah miyan ka ghar " wo la > > parwahi say tasweer ko daikh kay apni ammi kay chehray ko daikhnay > > lagti jahaan na janay kia hota ke wo sochnay lagti ke us ki ammi ko > > ye ghar kitna pasand hay , akhir kioon? > > > > waqt kay saath saath is chotay say sawal main aur buhut say sawaloon > > ka izafa hota gaia , her saal anay wali Baqr Eid pe Haj aur Qurbani > > kay alfaaz aur muhallay main kisi Haji kay anay ya janay ki khabrain > > ,Aur sab say barh kay , 9 zil haj ko us ki ammi ka TV daikhnay ka > > ishteyaaq , jaisay us kay ander tajasus aur shauq ki chingaryaan > > roshan karnay lagta. > > > > dasween kay imtehaan say farigh hoey to gurya kay saath mil kay > > palmistry ka shauq paal liya ,ab bas her aik ka hath paker kay baith > > jaati . pehlay apna phir gurya ka phir ammi papa ka , phir saari class > > main sab larkyoon ka , aur kartay kartay khandaan main mashhoor ho > > gaey . apnay tak aur larkyoon tak shughal laganay ki baat to usay bari > > pasand thi laikin jab bhi wo apni khala bi kay ghar jati wo aik hi > > sawal kartin " Sna baiti, a zara daikh mairay hath main Haj ki lakeer > > hay ke nahi " us nay aaj tak kisi kitaab main Haj ki lakeer nahi parhi > > thi laikin wo aisay hi natak kar kay keh daiti "haan khala bi buhut > > bari lakeer hay Haj ki " aur phir khala bi hath khainch laitin aur > > pursakoon si ho jatin. khala bi kay is sawal ki waja say us nay kaey > > kitabain chaanin laikin Haj ki lakeer kahin nahi mili . phir usay > > apni khala bi ki tarha kaey log milay jo yehi sawal kartay " mairay > > haath pe Haj ki lakeer hay ?" us kay paas is ka jawaab kabhi na hota > > . Haj ki lakeer kay muamay say tang aa kay us nay is shughal ko > > khair baad keh diya . > > > > College main gaey to is jaisay dunya aur bhi rangeen ho gaey , Allah > > miyan kay ghar ki bajaey ab wo hazaar tareekhi jaghoon aur dunya ki > > bay shumaar ala shaan emaratoon kay baray main parhnay lagi . > > imartoon kay isi shauq ki waja say wo architecture main masters > > karna chahti thi , college kay trips ka silsila bhi chalta raha aur > > saath hi saath us kay kamray ki deewarain mukhtalif emartoon kay > > posters say bharti rahin . aaj bhi wo abhi taj mehal ka khoobsoorat sa > > poster laga rahi thi ke ammi ki awaz aey " Sna , gurya aey hay ." > > jaldi say kursi say neechay utri , gurya kay anays say pehlay aina > > daikha aur kursi jagah per rakhtay hi , darwazay pe khari Nida ko > > garam joshi say salam kiya aur kaha " aray waah , aaj to eid kara di > > tum nay " us nay galay miltay hoay kaha. " w , salaam . main nay socha > > kabhi kabhi achanak bhi ana chahyay , ziada khushi hoti hay " Nida > > baig maiz pe rakhtay hoay boli." to kia ho raha tha , " " aray wah > > jaisay tum nay daikha hi nahi , ye daikho " us nay taj mehel kay > > poster ki taraf ishara kartay hoay kaha . " waao ...that's nice" > > kahaan say mara hay ?" Nida nay paas jatay hoay poocha ." maara nahi > > yaar, khareeda hay pooray 75 rupay main" " maira khiyal hay ke dunya > > main sirf 7 ujoobay hain laikin tumharay kamray main to hazaroon > > ujooboon ki tasweerain lagi hain " Nida nay saray kamray ki deewaroon > > per lagi , Eharaam-e- misr , Eiphel tower, Peica tower, WTC, Deewar-e- > > cheen , Room aur Spain ki purani emartain, China Aur Pakistan ki > > Dhair saari mashhoor-o- maroof emartoon ki choti bari hazaroon > > tasweeroon per aik nazer dauratay hoay kaha . "Acha hay na kam az > > kam tumharay bhaey jaan kay saRay hoay shauq say acha hay na jinhoon > > nay dunya bhar ki garyaan saja rakhi hain dewaroon pe" Sna nay ankh > > martay hoay khushgawaar mood main kaha . " Acha to kia tum un say > > muqabla karti ho ""Nida nay maanee khaiz nazroon say daikhtay hoay > > poocha ." main kahan , wo kartay hain mujh say muqabla " Sna nay > > nazrain churatay hoay kaha aur saath hi poocha . " waisay japan ja kay > > to buhut khush hoon gay ab" Nida nay qadray udasi say jawaab diya " > > haan teen saal bad aein gay engeenering ki degree mukamal kar kay " > > Sna nay usay chutki kaati aur hanstay hoay kaha " Aur aik added brand > > new japani gaari aur japani gurya lay kay" aur saath hi donoon > > hansnay lagin. > > > > chaar saal ka arsa parhayi main . imtehanoon main aur dunya ki > > emartoon ko sarahatay hoay kab guzra Sna ko pata bhi na laga . is > > dauraan Nida ki shadi ho gaey aur khud us ka nikah Nida kay bhaey > > Arsalaan kay saath ho gaia aur ab do mah baad wo rukhsat ho kay > > halkay sabz rang kay man pasand ghar main janay wali thi . wo apnay > > kamray ki dewaroon per say tasweerain utaar kay sanbhaal kay rakh > > rahi thi ke us ki ammi nay daikha to poocha " Sna !! ye tum saath lay > > jao gi kia" " haan ammi jaan ,, bhala ye main bhool sakti hoon ..maira > > asaasa hain ye" us nay lambay say dibbay ko band kartay hoay kaha ." > > tauba hay , bhala in emartoon main Allah jany tumhain kia nazer ata > > hay , wahan bhi ja kay ye gand sajao gi dewaroon pe " us ki ammi nay > > nagawari say kaha . " ammi jaan aap ki baiti Architect hay koey mazaaq > > nahi ...in kay baghair ab mairi pehchaan nahi. " us nay baray fakher > > say kaha." acha tum pe to junoon sa sawaar hay , suna hay Japaan main > > aur bhi khoobsoorat emartain hain ," us ki ammi nay sochtay hoay kaha > > " haan ammi Arsalaan bata rahy thay , bas mujhay wahaan janay dain > > phir daikhna kaisay kaisay design karoon gi " , " Acha tumharay janay > > kay baad hum tumhari chachi kay paas Jeddah ja rahay hain hain aur > > wahaan umray karain gay aur Haj kar kay wapas aein gay " us ki ammi > > nay bari khushi say bataia . Sna nay ammi ki ankhoon main chamak > > daikhi to sochnay lagi ke ammi ko mairi rukhsati ka koey dukh nahi > > laikin Haj ki kitni khushi hay.laikin saath hi usay ye baat > > tasaleebakhs bhi lagi kam az kam ab usay ammi papa ki itni fikar nahi > > rahy gi. > > > > do maah baad rukhsat ho kay wo chand haftay Sabz ghar main rahi aur > > phir Arsalaan kay saath japan chali aey . yahaan sharoo kay kaey > > maheenay wo arsalaan kay saath mukhtalif jaghain daikhti rahi . phir > > Arslaan ki company ki taraf say aik tour main wo log Itally bhi gaey > > aur France bhi .dunya ko daikhnay kay saath saath usay ammmi papa kay > > phone atay rahay . " kabhi Makkah ki fizaoon kay baray , kabhi > > khana kaaba ki tareef kartay hoay aur kabhi madeenay raunaq kay > > baray...wo sochti us kay seedhay saadhay waldain inhi do jaghoon ko > > daikh kay itnay khush hain yahaan aa kay aaj ki duyna ki taraqi > > daikhain to shaid sab bhool jain. > > > > Shadi kay doosray hi saal Arsalaan nay aik din kaha " Sna , main > > soch raha hoon is baar ammi dady ko Haj karwaoon ..tumhara kia khiyal > > hay?" ...Haj kay naam pe jaisay ,,, wo sakit si ho gaey , phir boli " > > haan kioon nahi , mujhay kia aetraaz ho sakta hay " phir maiz pe kisi > > naqshay pe jhuk gaey. " mager maira khiyal hay ke Hum bhi jain , > > mauqa bhi hay aur ammi dady ko company bhi rahay gi " Arslaan nay > > Sna kay haath say pencil pakartay hoay kaha. Sna ko aik dam kuch na > > soojha , khoey khoey si boli" haan is say achi kia baat ho sakti hay > > " .." bas phir tayari paker lo ", Arsalaan nay ghoom kay khushi say > > kaha ... do mah baad wo Haj ki saari tayaroon kay saath jeddah > > pohnchay jahan say Arsalan kay waldain ko saath liya aur haj kay > > liyay rawana hoay .Sna aur Arsalaan nay Makkah jatay hoay dhair > > saari kitaboon ko parha . Ehraam aur Haj kay saray arkaan ko > > samjha . aur saas susar ki rahnumaey main Allahumma labaik parhtay > > hoay hajyoon ki saf main shamil hoay. > > > > Masjid al haram say kaafi pehlay hi sarak pe chaltay hoay itnay > > rash aur hujoom main Sna nay logoon kay chehroon pe ajeeb sa junoon > > daikha , jaisay maqnatees lohay ko khainchta hay usay laga , sab log > > kahin khichay chalay ja rahay hain. Allahuma labaik ka wird kartay > > hoay wo zameen ko daikh kay chalnay lagi ke Arsalaan nay ishara kar > > kay kaha "Sna ,samnay daikho" Sna nay daikha ..sufaid marbal ki > > phaili hoaey emarat charoon taraf hajyoon ka hujoom aur fiza main > > " Allahuma labaik kay wird kay jadoo main laal choocnhoon walay mast > > kabooter , us kay rongattay kharay ho gaey aur qadam ruk gaey, > > bait-Allah main usay buhut pehlay hi Allah ka jalaal aur shaan ander > > tak mehsoos hoey .Arsalaan nay us ka haath dady ko thamaia aur khud > > apni ammi ka hath paker liya . Bait-al haram main dakhil hoay to > > jaisay logoon ka sailaab beh raha ho Sna ki nazer jaisay jhapakna > > bhool gaey us kay samnay khana kaabah tha . kalay rang kay ghulaaf > > main dhaka hoa , khoobsoorat Ayaat say muzayan , us ka dimaghjaisay > > shal sa ho gaia ho , usay nahi yaad kab Dady nay usay paker kay > > chalatay hoay tawaf main ghaseet liya. phir jaisay us sailab main wo > > behnay lagi , dady nay usay yaad karaia ke tawaaf main kia tasbeeh > > karni hay . laikin us ki nazer markaz say na hat saki . hajr-e- aswad > > kay samnay dady kay kehnay pe takbeer -e- tehreema kahi aur phir > > usi markez kay gird behnay lagi . usay nahi yaad zameen pe qadam lagay > > ke nahi ? kitna fasla tay hoa ? kaisay hoa? bas aik ajeeb si baykhudi > > si thi jis main say her baar dady ko usay nikalna parta . aur aglay > > rukan kay liyay samjhana parta . > > muqam-e- ibraheem kay baray bhi dady nay usay bataia warna usay to > > yaad na rehta . > > > > tawaf kay baad saee kartay waqt bhi us ki nazer behak kay markaz pe > > par jaati . too palatna bhool jaati . saee kay baad wo ammi kay saath > > Zam zam ki taraf gaey . pehlay piyas bhujhaey phir zaiq mehsoos kiya > > to usay laga ke nazer to paani ata hay laikin paani mehsoos kioon > > nahi hota . koey nabeena aurat ankhoon pe laga rahi hay to koey apnay > > bachy kay sir pe daal rahi hay . usay aik aik nal kay peechay > > khawateen ki qatarain nazer ain . aik lamhay ko us nay socha lakhoon > > ki taadaad main Haj aur aik Zam zam ka Kunwaan . aur phir hazaroon > > saal purana . us kay rongattay phir kharay hoay . dimagh shal sa hoa > > aur wo pagaloon ki tarah Zam zam kay paani kay cheentay monh pe > > dalnay lagi. wo jaisay jaisay paani kay baray sochti rahi sirshaar > > hoti rahi .wo to taqreeban poori bheeg hi chuki thi ke ammi nay kaha " > > Sna , abhi kay liyay bas karo " kisi aur ki baari anay do." usay tab > > ehsaas hoa ke usay to peechay khari ammi bhool hi gaey thin. wo > > sharmindigi say jaldi say peechay hat gaey. > > bait -al haram say mina jany lagay to bhi mur mur kay daikhti rahi . > > Haj kay tamam manasik ada hotay rahay aur wo bhooli bhatki si > > baykhaber si jaisay dunya bhool gaey ho. ammi dady aur Arsalaan ki > > rah numaey na hoti to jaisay usay kuch soojhta hi na .maidaan > > Araafaat main dhoop ki tamazet main nidhaal si kaifiyat main usay > > mehsoos hoa . khali maidaan main kisi ala shaan emarat ka jadoo nahi > > hay , aur sooraj ki hararat main rait kay zarray hain ya kuch pather > > jo Allah ki tasbeeh biyan kartay hoay mehsoos ho rahy hain . darakht > > aur insaan main abadat ka aik jaisa nasha tha jis kay agay Sna ko > > kuch dikhaey na diya. kahan say peenay ko paani mil gaia , aur > > kahaan say khanay ko khauraak kisi ko koey sar-o-kaar hi nahi jaisay > > . Muzdalfa say kankaryaan uthatay waqt usay khiyal aaia ke ibadat > > kay is hissay main kia lutf ho ga? > > is sawal kay jawab main jab wo kankaryaan marnay gaey to daikha ke > > jamaraat per kankaryaan aisay girrahi hain jaisay chakki main say > > Aata . usay aur ammi ko Arsalaan aur dady aik jaga khara kar kay , > > aga gaey aur sab kay hissay ki kankaryaan maar kay aey . Sna ko > > ajeeb sa shauq jaga , neechay giri hoey kankaryaan utha kay wo us > > taraf phainknay lagi. > > > > ab tak ki saari riazat kay dauraan usay neend ka ehsaas buhut kam > > hoa , usay lagta tha jaisay us ka dimagh soay hoay bhi jaag raha hay . > > Mina main qayam kay waqt albatta usay neend nay a liya , thakan ka > > ehsaas jaga ye shaitaan ko kankaryaan marnay kay baad ka sakoon tha > > shaid . Eid kay din naha dho kay , qurbaani kay baad , sab nay aik > > doosray ko Haj ki mubarak di aur phir madeenay ki taraf chalay . > > . tawaf al wida keh kay jab wo rukhsat honay lagi to jaisay sakoon > > ka lafz yahin chore kay ja rahi ho . wo ronay lagi , ansoon main usay > > yaad aaia ke itna to wo apni rukhsati kay waqt bhi nahi roey thi. usay > > apni ammi ki ankhoon ki wo chamak yaad aa gaey jis nay unhain apni > > baiti ki rukhsati bhula di thi. wo ye soch kay muskaey aur shukranay > > ki dua mangaty hoay us nay Madeena munawara say anay waali hawa ko > > khushi say mehsoos kiya . > > > > masjid Nabwi ki hudood kab sharoo hoey Sna ko nahi maloom albatta > > logoon kay bahao main chalti hoey wo jahan tak ander ja sakti thi > > chalti gaey . thandi pursakoon fiza say jaisay thakay hoay hajyoon ka > > massag ho gai aho aur wo phir say tar-o- taza ho gaey hoon. > > masjid nabwi ki khoobsoorat naey tarz ki wasee emarat main hafta > > bhar namazain ada kin aur rozana hi Us muqadas jaali ko daikhnay ki > > hasrat barhti gaey. wahaan auratoon aur mardoon ka elehda intezaam > > tha aur ziyarat kay makhsoos auqaat thay .phir aik din asar ki namaz > > kay baad unhain mauqa mil hi gaia . wo sunherijalyoon ko daikhnay lagi > > aur nazer ander tak na janay kia dhoondhti rahi . wahaan darood -o- > > salaam ka zikar tha charoon taraf . log duain kar rahay thay nawafil > > parh rahay thay . ammi kay kehnay pe nafal ada kiya aur darood parhany > > lagi . aik konay main wo baithi logoon kay hujoom kay darmiyaan say > > jalyoon kay ander chaey hoay sakoot ko mehsoos karnay lagi . us nay > > ankhain band kar lin ke un kay kanoon main peechay baithi aik khatoon > > ki hichkiyoon ki awaazain sunaey din. wo halka sa muri. ansoon say > > nahaia hoa chehra , dua mangtay hoay kamptay hoay hath . kamptay hoay > > alfaaz . us nay zara tairana nigah daali to saray alam ka yehi haal > > tha . girgiratay hoey . roti hoey . jholyaan aur daman phailey hoey .. > > mangti hoey dunya . us ka dil jaisay halaq main aa kay thehar gia ho. > > aik lamhay ko usay kuch nahi soojha ke wo kia mangay ...phir jaisay us > > ki ammi ki awaaz sunaey di " Sna dua mango. hum Allah miyan kay ghar > > phir say jain " aur jaisay wo kam sin ban gaey ho aur hil hil kay > > yehi dua mangti gaey .usay yaad aaia ke Khala bi Haj ki khawhish > > liyay hi dunya say rukhsat ho gaey thin . ...khala bi kay chehray kay > > saath usay kaey chehray yaad aa gaey aur wo un kay liyay dua mangti > > gaey ... > > madeenay ki pur- raunaq dukaonoon say khajoorain aur tasbyaan > > khareedin kuch aur masjidoon ki ziaratain kin aur wapsi ki tayari > > hoey . Haj kay chand dinoo main hi wo dhair saari tabdeeli kay saath > > . wapas Jeddah aa gaey . jahaan say Zamzam ki saughaat liyay Ammi aur > > dady kay saath Japan aa gaey. > > > > Yahaan sab ki mubarkain milin , zam zam aur khajoorain bantin . aur > > dawtain khaein. kisi nay usay Hajan kaha aur kisi nay khushqismat . > > Zindigi jaisay us ki ab sharoo hoey thi . namaz ki pabandi kay saath > > us nay dunay ki nit naey taraqi yafta emaroon say mehzooz hona chore > > diya tha . wo aik qabil Architect thi ghar ko naey siray say muzayan > > kiya .us kay office main ab aik say barh kay aali shaan masajid kay > > posters thay , yehi haal ghar ka bhi tha . masjid nabwi kay > > mukhtalif zavyay haray balb ki roshni main ghar main dakhil hotay hi > > rah daari ki dewar pe tatreeb say lagay thay. aur ghar kay darmiyaan > > .living main bait al haram ka nihayat hi khoobsoorat model tha . > > aur is kay elawa aisa buhut kuch tha jin kay samany dunya jahaan > > ki Architecture ki dunya hairaan aur mabhoot reh jati hay. aur kion > > na hoon akhir ye dunya per azal say abad tak zinda rehnay wali > > lazawaal emartain hain . jo ke kabhi dunya ka history nahi kehlain > > gi. > > > > teen saal ka arsa guzra , Sna ki baiti Eman chotay qadmoon say > > bhagti hoey aey aur maan kay braber baith kay , us ki taqleed main > > hil hil kay kuch mangny lagi . Sna nay us kay haath piyalay ki tarha > > banaey aur kaha ke " Eman ... mangoo ke hum Allah miyan kay ghar > > phir jain " ye keh kay Sna nay Eman ki hathaili ko daikha ...aur > > halki si muskaan say socha ke Allah karay is kay haath main Haj ki > > lakeer zaroor ho , amin.
Thread Navigation
This is a paginated view of messages in the thread with full content displayed inline.
Messages are displayed in chronological order, with the original post highlighted in green.
Use pagination controls to navigate through all messages in large threads.
Back to All Threads